لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Laadli aapki bus tadapti rahi

Imran Mehdi2017
ShiaNohaLyrics
Ye shaame Ghurbat ka manzar hai ahle aza Binte Zehra(sa) hai be maqna o be rida Dekha aata hai maqtal ki jaanib koyi Boli Zainab(sa) na aana idhar ajnabi Di sada aanewale ne ay ghamzada Mai hu baba tera binte Khairun nisa Dekhkar apne baba ko binte Ali(as) Chhote bachho ki tarha se rone lagi Kyu na baba sada tumne meri suni Mere baba mai pardes mein lut gai Laadli aapki bas tadapti rahi..(4) Masaaeb: Baba wo athhaara(18) saala Ali Akbar(as) Jisey maine naazo'n se paala tha Jo hu ba hu mere naana ki shabahat rakhta tha Jisney subhe aashur di thi azaa'n Hairat hai zaalim ne takbeer baland karke Uske seene pe naiza maara tha..!!!!! 1.Baba naazo’n se pala tha mene jisey Dil mein arman tha uska sehra saje Uskay laashay ko dekha he dil thaam k Bas mein parhti rahi dil mein naad-e-ALI(as) 2.Mustaqil zulm dhatay rahay ahl-e-shar Na hi bhai rahey or na noor e nazar Aisey ujra he pardes me mera ghar Hogayi maut se bhi buri zindagi Masaaeb: Baba meri chaadar ka muhaafez Bachho'n ki aas, Ghareeb Husain(as) ki quwwat Wo mera bhai Abbas(as)..!! Neher par apne baazu kataakar sogaya.... 3.Tan se bazu juda thay alamdar kay Baba meney ye poocha tha ABBAS(as) se Chor kar mujhko kio’n nehr par so gaye Lash-e-ABBAS(as) baba tarapnay lagi 4.Meray AUN O MOHAMMAD(as) bhi maray gaye Aur janazay thay maqtal mein bay-sir paray Meney betay kiye hein fida bhaai pe Phir bhi mein Shah-e-Dee’n ko bacha na saki 5 Sakht tha mere baba mera imteha’n Meray sir par nahi thi rida baba jaa’n Aur us par ye pardes ki sakhtiya’n Khaak-e-maqtal meray sir ki chadar bani 6.Hai meray saath beemar beta mera Us ko meney bachaya jo khema jala Usk zanjeer me baba jakra gaya Kuch bhi kar na saki haaye majboor thi 7.Rokay ZAINAB(sa) ney Salman di ye sada Sarey alam k hain app mushkil kusha Kio na aye madad ko meri murtaza Thak gayi baba jaa’n aapki laadli