لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sheh se ali akbar ka janaza na uthega

Imran Mehdi2020-21
ShiaNohaLyrics
HAAYE AKBAR HAAYE AKBAR...(2) Sheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2) Piree me jawaa'n laal ka..(2)lasha na uthega Sheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2) 1) Qasim ko sada dijiye imdad ko aaye Abbas ko dariya ki tarai se bulaye Tuti hai kamar noore nazar uth nahi sakta Har bar uthate hai magar uth nahi sakta Piree me jawaa'n laal ka lasha na uthega Sheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2) 2) Sunte hai k dil thaam ke maa baith gayi hai Akbar k kaleje me sina baith gayi hai Rukti hui saansein hai labo pe ruki jaa'n hai Seene se lahoo akbare mehroo k rawaa'n hai Piree me jawaa'n laal ka lasha na uthega Sheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2) 3) Dar pe hai bahot der se ghabraye na zainab Sar peet ke khaima se nikal aaye na zainab Zainab ke to jeene ka sahara hai ye akbar Farzando se apne unhe ye pyara hai akbar Piree me jawaa'n laal ka lasha na uthega Sheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2) 4) Ye husn ye nana ki shabahat na milegi Shabbir ko ye chaand si surat na milegi Uthta nahi laila ki nishani ka janaza Hai khaak pe ahmed ki jawani ka janaza Piree me jawaa'n laal ka lasha na uthega Sheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2) 5) Gharwalo ki hai aankh ka taara mere maula Zakhmi hai bahot gesuo wala mere maula Phal barchi ka akbar ke jo seene me gada hai Be jaan dulara tera reri pe pada hai Piree me jawaa'n laal ka lasha na uthega Sheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2) 6) Kis tarah se ghar tak inhe le jaenge hazrat Chalne me qadam aapke tharraenge hazrat Jab lash na uth paegi humshakle nabi ki Yaad aaegi hazrat ko alamdare jari ki Piree me jawaa'n laal ka lasha na uthega Sheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2) 7) Is zakhm ko seene ke chhupa lijiye aaqa Lakar koi chadar hi udhaa dijiye aqaa Dewdi pe jawaa'n sher ka lasha jo pada hai Khaimo me "RAZA" matame akbar ki sada hai Piree me jawaa'n laal ka lasha na uthega Sheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2)