لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Na Leja Na Leja Zuljanah

Irfan Haider2000
ShiaNohaLyrics
Jo Jata Hain Makhtal Mey, Palatkar Nahi Ata, Sab Chahane Walo Ko Qaza Agaye Raan Mey, Main Sahe Nahi Paunge Yatime Ke Sitam Ko, Ye Aste Wafadar Se Kehti Thi Sakina, Na Leja Na Leja Zuljanah, Mere Baba Ko Na Leja Main Sounge Kiske Seene Par-02 Le Jayega Tu Jo Baba Ko Na Leja Na Leja Zuljanah, Mere Baba Ko Na Leja Main Tere Sumo Se Lipti Hoon, Faryad Ye Tujhse Karte Hoon Main Daag-e Yatime Ke Daar Se, Din Raat Tarap kar Roti Hoon Bich Re Jo Padar Ke Sine Se-(02), Hain Itna Yakeen Mar Jaunge. Lazim Hain Wafadare Tujh Par, Har Simte Se Ghere Hain Laskar Be Deen Layeno Ke Baan Me, Aaqa Pe Na Chal Jaye Khanjar Royege Teri Aaqa Zadi-(02), Key Tujh Ko Gawar Hain Ye Din. Rokounge Nahi Tera Rasta, Bus Mujh Ko Bata De Tu Itna Hain Tujh Ko Khabar Aaqa Tera, Karta Hain Pyar Mujhe Kitna Main Sounge Kiske Seene Par-(02), Le Jayega Tu Jo Baba Ko. Baba Ke Siwa Ab Koye Nahi, Har Gam Satayenge Layeen Zalim Se Bachaye Kuon Mujhe, Na Apna Watan Na Apni Zamee Bin Baap Ki Bachchi Par Zalim-(02), Ab Aur Qayamat Dhayenge. Main Kaise Jeeunge Tu Hi Bata, Jab Paas Nahi Honge Baba Kuch Roz Agar Zinda Bhi Rahi, Yaadon Ke Sahare Main Tanha Ek Zinda Laash Ki Surat Se-(02), Main Jeti Rahunge Ro Ro Kar. Sooti Thi Sukon Se Ye Dukhtar, Mazlum Hussain Ke Seene Par Ab Mere Muqaddar Me Hoga, Is Khak-e Bayaba Ka Bistar Kis Tarha Mujhe Neend Ayenge-(02), Yaad Ayega Baba Ka Seena. Soon Kar Ye Sakina Se Bola, Wo Aste Shahed-e Karbobala Mat Ro Aye Meri Aaqa Zadi, Main Kaise Ruku Batla De Zara Hain Hukm Imamat Chalne Ka-(02), Aur Ek Taraf Nauha Hain Tera. Chalta Hoo To Furkat Teri Hain, Ruk Ta Hoo To Hukm Zaruri Hain Ruk Jaoun Teri Khatir Lekin, Chalna Bhi Meri Majburi Hain Chalte Hain Kaleje Par Khanjar-(02), Sun Sun Ke Tere Gham Ke Nale Nauha Ye Sakina Ka Sunkar, Youn Goya Hua Roke Sarwar Thi Usme Yatime Bhi Teri, Bachpan Me Jo Utra Tha Mehjar Haq Ki Marze Par Hoon Razi-(02), Bekar Hain Ye Kehna Tera. Khamosh Hui Shah-e Ki Dukhtar, Ye Baat Shah-e Din Ke Sunkar Irfan Bayan Ab Kaise kare, Ruh Daad Masayeb Ki Mazhar Uthti Thi Sakina Ke Dil Se-(02), Phir Bhi Ye Sadaye Ro Ro Kar. Na Leja Na Leja Zuljanah, Mere Baba Ko Na Leja