لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye maut theherja

Irfan Haider2003
ShiaNohaLyrics
hichkiyan lete thay ali akbar umme laila ye bain karti thi poshaak udhaloon ke mai armaan nikaloon ay maut teher jaa ay maut teher jaa mai apne jawan laal ko dulha to bana loon ...ay maut is laal ko mai kaise karoon tere hawale ye chand to deta hai zamane ko ujale is chand ki poshaak sitaron se sajaloon ...ay maut athara baras phoolon ki tarha jise paala jaata hai mujhe chod ke wo gesuon wala ab tu hi bata kaise mai is dil ko sambhaloon ...ay maut dekhe thay bahut khaab magar khaak hue sab is bete ke sehre ki dua karti thi zainab dulah na sahi mai ise dulah sa banaloon ...ay maut har shaam jise lagti hai ab shame gharibaan jo kehti thi akbar ki dulhan laaungi amma us fatima sughra ko madine se bulaloon ...ay maut qaime se zara door khade rote hai sarwar ek haat kalaje pe hai ek haat kamar par mai khud ko sambhaloon ke shahe deen ko sambhaloon ...ay maut ye kiski nazar kha gayi is noore nazar ko veeran kiye jaate hai akbar mere ghar ko jee karta hai is chaand ko dunya se chupaloon ...ay maut zainab ke labon par hai buka haaye muqaddar kya sehra chadhaun mai teri lash pe akbar aur khud ko teri laash pe sadqe hi utaroon ...ay maut mehendi na lagi haaton may hai khoon badan ka pooshak-e-shahani ko mila daag kafan ka is laash pe athaarveen mannat ko badhaloon ...ay maut taqdeer kisi maa ko ye manzar na dikhaaye maiyat pe jawaan laal ke wo ashq bahaaye jee bhar ke ise dekhloon aur ashq bahaun ...ay maut faryaad zara sunle sakina ki zubaani marjaungi bichda jo mera yousuf-e-saani bhaiya mere naraaz hai mai unko manaloon ...ay maut maa roti rahi mazhar-o-irfan tadapkar aur aakhri hichki may safar kargaye akbar maa kehti rahi mai ise dulah to banaloon ...ay maut