Shabbir ka zakir
Irfan Haider•2004
ShiaNohaLyrics
Shabbir ka zakir
Me jahaa bhi gaya tera matam kiyaa
Tera nawha parhaa
Tujko pursaa diya
(Pucha duniya ne jab mera naam or nasab) x2
fakhr karte huwe mene unse kahaa
(Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
Ha uska hu zakir ke ali jiska tha baba (maa fatema zehra thi behen
zainabe kubra) x2 jo log muje kehte hai kafir hai wo kafir, shabbir ka
zakir hu me shabbir ka zakir
(Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
Ho bus me agar mere to duniya ko bataadu (har gar me azaa khana-e
shabbir sajaa du) x2 hai karbala waalo ke liye jaan bhi hazir, shabbir
ka zakir hu me shabbir ka zakir
(Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
Din raat-e dare shah pe sajde bhi karunga (jabtak hai meri saas yuhi
nawha parunga) x2 palaa hai mujhe maa ne isi kaam ki khatir, shabbir ka
zakir hu me shabbir ka zakir
(Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
bachpan me mujhe baap ne taalim yahi di (har saas zamaanat hai
hussain ibne ali ki) x2 hai fikr meri shaam ke rasto ke musafir, shabbir
ka zakir hu me shabbir ka zakir
(Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
Rag rag me lahu banke ghame shah rawaa hai (matam se koyi rokle
mumkin ye kahaa hai) x2 tum meri zubaan kaat do bolenga lahu phir,
shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir
(Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
Na khof he dushman ka na duniya ka koyi dar (tufaano se takraata hu
matam ki binaa par) x2 hai baarwa haider hi mera haamiyo naasir, shabbir
ka zakir hu me shabbir ka zakir
(Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
Fatwo ki hawaao se kabhi me nahi darta (jannat ke liye majliso matam
nahi karta) x2 jannat to banaayi khuda ne meri khatir, shabbir ka zakir
hu me shabbir ka zakir
(Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
Aazayishe duniya ki zaroorat hi nahi hai (ye majlise shabbir hi
firdows bari hai) x2 is baat pe rehta hu shabo roz-e me shakir, shabbir
ka zakir hu me shabbir ka zakir
(Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3