Noke neza
Irfan Haider•2005
ShiaNohaLyrics
Noke neza
Jab shaam ke bazaar mei, saydaaniya
aayi, are chadar ki jaga khaak-e-safar, baalo pe laayi. Naa gaah jab
ghazi ki nazar kulsum tak aayi, are sar khaak par, abbas ne neze se
giraaya. Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, noke neza pe
teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
Ik gayyur wafadaar pe ab aur sitam kya honga, jiski chadar ka
muhafiz tha wohi aaj huwi beparda, shaam walo mei se
ehsaas-e-doraan-e-safar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
Gir gayi raah mei naake se sakina to ye zainab ne kaha, Ik chacha
aur bhatiji ki muhabbat to zara dekh khuda, pusht naaka pe sambhalti
nahi sheh ki dukhtar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
Shaam ke log tamashaayi bane aur tamaasha saadaat, Bewatan aur khule
sar hai sar-e-raah kare kya saadaat, khun ankho se bahaate hai
shah-e-jinn-o-bashar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
Aandhiyo khaak urhaawo ka bane isse haram baparda, gunji jab shaam
ki gham nok fazaawo mei ye zainab ki sada, aasma(n) rone laga rowi
zami(n) ye kehkar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
Chashm-e-sajjad se behne lage us waqt lahu ke dhaare, jab ke masoom
sakina ko sitamghar ne tamaache mare, laasha sahil pe tarapta hai udhar
aur idhar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
Rone walo sar-e-bazaar khule sar thi ali ki beti, ghir gaya
farq-e-wafadaar jo neze se to heyraa(n) the shaqi, Pucha abid se
sitamghar ne bataawo kyu kar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
Saath sadaat ke shehzaadiy-e-kawnaain safar karti rahi, nawha karte
hai nabi khaak urha te hai hassan aur ali, haay kya waqt hai rote hai
sina par sarwar noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
Kabhi layla kabhi farwa kabhi kalsum kahe wawayla, chehra balon se
chhupate huwe zainab ne yahi ro ke kahaa(n), amma fiza zaraa dekho to ye
gham ka manzar noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
Nawha likhte huwe "irfan" ye "mazhar" ne kahaa tha rokar, kon qirtas
pe laasakta awlade payambar ka safar, rodiye qalb o jigar aik hi misra
likhkar noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2