لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hind roti thi

Irfan Haider2006
ShiaNohaLyrics
Hind roti thi Haaye baap ki yaad sakina ko jo tarapti thi Waa hussaina ki sada deke wo chillati thi Ye sada hind ke kaanose jo takrati thi Are hind zindan ke darwaze pe ajati thi hind zindan ke darwaze pe ajati thi usne ik din kaneezo(n) se puchha kuchh batawo(n) ke hai majra kya kiski rone ki hai ye sadaaye(n) kon zinda(n) me karta hai nawha hind roti thi zinda(n) ki darpar ik yateema ki awaz sunkar hind roti thi zinda(n) ki darpar al gharaz agayi zindan talak mehve bukaa parh ke zinadaan ke darbano ne dar khol diya baabe zindaan me dakhil jo huwi wo dukhiya are (ek bachhi ko andhere me tarapte dekha) x2 apne sine se usko lagaya ponch kar aashk bachhi se puchha kyu(n) hai nawha tera wa hussaina naam badlade apne padar ka hind roti thi zinda(n) me aakar ik yateema ki awaz sunkar hind roti thi zinda(n) aakar hind ne puchha watan usne kaha bewatani kaam jab hind ne puchha to kaha sina zani jurm jab puchha to wo boli ghareebul watani are (dard jab puchha to kehne lagi eeza rasani) x2 hind ne puchha kabse ho qaydi peet ke sar ko boli wo bachhi saal bhar qayd me yu(n) ghuzaara na dawa hai na marham hai koyi hind roti thi zinda(n) me aakar ik yateema ki awaz sunkar hind roti thi zinda(n) aakar hind ne puchha maraz kya hai kaha bepadari roke wo boli dawa kya hai kaha nawha ghari ghar jo dariyaft kiya kehne lagi darbadari are (boli leta hai khabar kon kaha bekhabari) x2 hind ne puchha gham ka madawa boli bus aasra hai khuda ka dard dil me jo uthta hai mere naam leti hu(n) mushkil khushaa ka hind roti thi zinda(n) me aakar ik yateema ki awaz sunkar hind roti thi zinda(n) aakar naam haider ka suna karne lagi hind bukaa puchha bachhi se bhala inse tera rishta kya roke bachhi ne kaha gham to yahi hai dukhiya are (baap shabbir hai dada hai mere shere khuda) x2 kya kahe aur "irfan-o-mazhar" phenk di hind ne sar se chaadar bichh gaya qayd me farshe matam wa hussaina tha sab ki zubaa(n) par (haaye hussaina) x4