لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khoon me duba

Irfan Haider2006
ShiaNohaLyrics
(Kya qayamat lab-e-alqama hai) x2 Mashk chidi pani baha, ho gaye bazu kalam Phool se Abbas ka, surkh huwa jab alam Shor utha nehr par, qatl-e-alamdar shud Shaad huwe ehl-e-shar, qatl-e-alamdar shud Are dekha suw-e-nehr to Shabbir ne rokar kaha (Khoon mei duba alam Abbas ka) x2 Mei hu watan haa(n) yaha, qatl-e-alamdar shud Are kyu(n) na qamar ho kama, qatl-e-alamdar shud Are kyu na lahu ankho(n) se barsuo(n) bataa karbala (Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2 Mojo(n) ne matam kiya, qatl-e-alamdar shud Are dasht se ayi sada, qatl-e-alamdar shud Are dekha suw-e-nehr to Zainab ko nazar agaya (Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2 Lut gaya zehra ka cheyn, qatl-e-alamdar shud Are roke ye bole Hussain, qatl-e-alamdar shud Are meri Sakina ke liye hoga payaam-e-qaza (Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2 Koyi nahi aasra, qatl-e-alamdar shud Are bhaayi akela huwa, qatl-e-alamdar shud Are sar se rida jayengi Zainab ko yaqee(n) hogaya (Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2 Haath rakha qalb par, qatl-e-alamdar shud Are pheynki ridaa khaak par, qatl-e-alamdar shud Are ehl-e-haram saath huwe parhne lagi marsiya (Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2 Toot gaya aasra, qatl-e-alamdar shud Are paani nahi ayenga, qatl-e-alamdar shud Are bhigi huwi ankho(n) se dekho to suw-e-alqama (Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2 Kaise jiyungi bhala, qatl-e-alamdar shud Are mujhko na ayi qaza, qatl-e-alamdar shud Are aas meri toot gayi dekha jo mere khuda (Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2 Nana ne nawha kiya, qatl-e-alamdar shud Are kehti hai maa sayyeda, qatl-e-alamdar shud Are dekh naya zakhm mere laal tujhe degaya (Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2 Ab mera lashkar kaha, qatl-e-alamdar shud Rone lagi alqama, qatl-e-alamdar shud Khaymo(n) mei hai shor-o-sheyn, qatl-e-alamdar shud Karti hai Zainab bukaa, qatl-e-alamdar shud Fizza ne payi khabar, qatl-e-alamdar shud Bacho(n) se sheh ne kaha, qatl-e-alamdar shud Noha hai kulsoom ka, qatl-e-alamdar shud Rote hai mushkil kusha, qatl-e-alamdar shud Karta hai "Mazhar" buka, qatl-e-alamdar shud Khaak urhaao zara, qatl-e-alamdar shud Are nawha hai "Irfaan" ka, qatl-e-alamdar shud Are peet'te hai sina-o-sar dekh ke ehl-e-aza (Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x3