لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

sajjad se pucho

Irfan Haider2006
ShiaNohaLyrics
sajjad se pucho (Sajjad se pucho) x2 Zainab ne jo puchi gayi, rudad-e-safar ki, dil thaam ke, kehne lagi, ye Zainab-e-muztar (Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho) x2 Maghmoom aseeri ka, khula shaam mei jaakar Jab nawha kuna nok-e-sina par huwe sarwar Bhayya ne jo nawha kiya, yasrab ke makeeno Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho Mehfooz hai ankho(n) mei, aziyyat ke wo lam hai Sadaat khule sar the tamashayi khare the Us dard ki shiddat ko agar poochna chaaho Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho The haath passe pusht bandhe sar mei pari khaak Sadmo(n)ho se kaleje the gharebaa(n) ki tarha chaak Ay logo mile zakhm jo un aaho(n) kham to Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho Jab girta tha Abbas ka sar nok-e-sina se Kya is ka sabab hai jo laee(n) poochne aate Mei kehti thi mujhse nahi, ye baat laeeno(n) Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho Patthar kahi barsaaye gaye ehl-e-haram par Baghi kabhi kehlayi gayi aal-e-payambar Afsos yahi hai ke musalmaa(n) the sabi to Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho Jab girgayi naake se mere bhaayi ki dukhtar Wo neza ruka jispe rakha tha sar-e-sarwar Us dam jo aziyyat huwi awlaad-e-nabi ko Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho Jab milgayi zindaa(n) se aseero(n) ko rihaayi Ghar jaayenge na jaaye kaho Fatema jaayi Rokar kaha Zainab ne ke mujhse nahi paano Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho Jab "Mazhar-o-Irfan" kiya Sughra ne nawha Zainab ki zaeefi ka sabab maa(n) se jo pucha Maa(n) kehne lagi roke kaleje ko sambhaalo Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho