Rida laake ke urhaade
Irfan Haider•2007
ShiaNohaLyrics
Rida laake ke urhaade
Zainab aagayi hai shaam
Meri rida ke pasbaan
Rida laake ke urha de
(Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de) x3
Ay mere ghazi alamdaar
Rida laake ke urha de
(Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de) x3
ye buturab ki beti ho kyu(n) na fariyaadi
agar wo toko salaasil se paaye azaadi
To mera abide bimaar
Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar
Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de
Wo beridayi ke sadme ko kaise jhelega
Ye dard abide muztar ki jaan lelega
Guzar na jaaye dilafgar
Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar
Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de
Mujhe chhupale mere ghazi in nigaaho(n) se
Sabeel aisi banaa koi tay ho ye raste
Na dekhe mujhko sitamghaar
Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar
Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de
Ghareeb hogayi ummat ne di saza mujhko
Tu dekh sakta nahi ghazi berida mujhko
Sina se gir nahi farwa
Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar
Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de
Tujhe sakina ke ashko(n) ki hai qasam ghazi
Tamaam umr me phir tujhse khuchh na mangungi
Hai ibne haidere karrar
Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar
Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de
Tujhe to baba ne bakhshi masnade aali
Sawali koi tere dar se kab gaya khali
Zamane bhar ke madadghaar
Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar
Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de
Kabhi jo ghar se nikalti me saal me ik baar
Tu barh ke logo(n) se kehta tha band karo bazaar
Wahi behan wahi bazaar
Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar
Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de
Sare hussain bhi rota hai noke neza par
Padar bhi rote hai nana bhi bas yahi kehkar
Khule saro(n) ke wafadar
Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar
Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de
Sada ye shaam se aati hai "mazahar-o-irfan"
Tarap ke aaj bhi kehti hai zainabe zeeshaan
Meri rida ke nigehbaan
Rida laake ke urha de
Ay mere ghazi alamdaar
Rida laake ke urha de
Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de