لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye hussaini kaafla

Irfan Haider2007
ShiaNohaLyrics
Ye hussaini kaafla (Chehlum karke hussain ka) x2 Maqtal se chala kaafila Zainab ne di sadaa Ay mere sajjad sun kafla salaar sun Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa Haay - Majlise chehlume shabbir sare dashte bala Kar chuke ehle haram girya o maatam barpa (Kaasimo akbaro abbas ka pursa bhi diya) x2 Ye to sab hogaya ek kaam bacha he tera Ay mere sajjad sun kafla salaar sun Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa Haay - Jaanti hun ke ghamo ranj se lachar he tu Yaad mein baali sakina ki giriftaar he tu (Meri tarha se bahattar ka azadar he tu) x2 Kaarwaane shahe mazloom ka salaar he tu Ay mere sajjad sun kafla salaar sun Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa Haay - Yun to ye kaam bhi karsakti hun mein tashna jigar Qalbe zainab ki yehi aakhri khwahish he magar (Ek imam aaya tha hum sab ko watan se lekar) x2 Ek imam apne dilafghaaron ko lejaaye ghar Ay mere sajjad sun kafla salaar sun Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa Haay - Apne nana ko ye rudad sunane ke liye Zakhm pardes mein jo paaye dikhaane ke liye (Dadi zehra ko har ek baat bataane ke liye) x2 Fatima Sughra ko seene se lagaane ke liye Ay mere sajjad sun kafla salaar sun Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa Haay - Wada Shabbir ka he beta agar yaad tujhe Dil se ay beta bhulaani he har uftaad tujhe (Laaj rakhni he meri sayyade sajjad tujhe) x2 Phir se nana ka shehr karna he abaad tujhe Ay mere sajjad sun kafla salaar sun Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa Haay - Naqsh is dil pe mere laal musibat he teri Ruh ke zakhmon men pewast azziat he teri (Jo hua so woh huwa beta ye kismet he teri) x2 Ab bhi nana ke madeene ko zaroorat he teri Ay mere sajjad sun kafla salaar sun Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa Haay - Dekh ay laal ye tujhko bhi he mujh ko bhi yaqeen Khoon royegi mere haal pe yathrib ki zameen (Fatima Sughra ka mein saamna karsakti nahin) x2 Isliye kehti hun tujhse ay mere maah jabeen Ay mere sajjad sun kafla salaar sun Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa Haay - Haaye kya mazharo irfan qayamat thi bapa Peet kar seena o sar karte the saadat buka (Baap ki kabr se woh kaafla salaar utha) x2 Thaam kar baazue sajjad jo zainab ne kaha Ay mere sajjad sun kafla salaar sun Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa