لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khat-e-Sughra

Irfan Haider2008
ShiaNohaLyrics
Khat-e-Sughra Haaye Sughra, Udaasi Ghar Mai Nauha Khwaan Thi Haaye Sughra, Shabihe Zehra Pareshaan Thi Haaye Sughra, Jab Yaad Sataane Lagi Ahl-o-Ayaal Ki Sughra Ne Ik Charaagh Jalakar, Baba Ko Khat Likha (Watan Mai Chhorgaye, Apni Shahzadi Ko) x2 Hamaare Baad Khushi Koi, Jab Manaaenge (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aayenge) x3 Salaam Bheja Hai Sughra Ne, Bas Yehi Kehkar Na Maut Aayi Na Tum Aaye, Na Ali Akber Parinde Lout Ke Jab Bhi, Gharon Ko Jaaenge (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3 Yeh Baap Beti Ki Ulfat Toh, Kam Nahin Hogi Dukhe Huwe Mere Iss Dil Ko, Hai Sukun Yehi Ghale Se Baali Sakina Ko, Jab Lagaaenge (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3 Mera Shabihe Nabi Akber, Jab Azaa(n) Dega Zohr Ho Fajr Ho Maghrib Ho, Asr Ho Ke Isha Namaz Parhte Jo Daste, Dua Uthaayenge (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3 Chalaa Tha Ghar Se Safar Ko Jo, Kaarwaa(n) Mera Humak ke Gowdi Me Aaya Tha, Bezubaa(n) Mera Jab aap Jhulaa Mere Bhai, Ka Julaaenge (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3 Chacha Bhatiji Ki Ulfat Toh, Yaad Hai Baba Alam Ke Saaye Mai Rehti Thi, Fatema Sughra Mere Chacha Ka Alam Jab, Wahaa(n) Sajaaenge (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3 Safar Pe Jaane Se Pehle Yeh, Baat Hoti Thi Ke Sab Se Pehle Dulhan Aaye, Ghar Mai Qasim Ki Jab aap Dasht Mai Dulha, Usse Banaaenge (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3 Yeh Itminaan Mere Baba, Hai Mere Dil Ko Koi Kaniz Ho Kubra Ho, Ya Sakina Ho Kisi Ko Pyaar Se Jab Bhi, Ridaa Urhaaenge (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3 Safar Mai Eid Jab Aayegi, Sayyed-e-Zeesha(n) Chacha Ho Aap Ho Akber Ho, Ya Phuphi Amma(n) Sakina Bibi Ko Jab, Baaliya(n) Penaaenge (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3 Jo khat Mai Bayn The Sughra Ke, "Mazhar-o-Irfa(n)" Pisar Ki Laash Pe Parhte The, Sayyed-e-Zeesha(n) (Watan Mai Chhodgaye Apni Shahzadi Ko) x2 Hamaare Baad Khushi Koi Jab Manaaenge (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge)