لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khuda Hafiz-o-Nasir

Irfan Haider2008
ShiaNohaLyrics
Khuda Hafiz-o-Nasir Khuda Hafiz-o-Nasir, Khuda Hafiz-o-Nasir Khuda Hafiz-o-Nasir (Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna) x2 (Zindagi Rahi Toh Phir Milenge) x2 Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Waise Bhi Ab Iss Duniya Mai Jine Ka Mazaa Kya (Hamshakle Payamber Hai Na Abbas Hai Mera) x2 Rukhsat Karo Shabbir Ko Ye Kehke Khudaara Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Dil Sine Mai Betaab Hai Aur Lab Pe Bukaa Hai (Iss Dasht Mai Ab Tera Nigehbaan Khuda Hai) x2 Yeh Sochke Maqtal Ko Chalaa Bhai Tumhara Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Logo Ne Hamei(n) Lutliya Ghar Se Bulaakar (Baitha Hu Abhi Laashon Se Maqtal Ko Sajaakar) x2 Allah Se Ummeed Rakho Ay Meri Behna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Har Gaam Pe Yeh Jumla Tumhe Honsla Degaa (Jab Ahmed-e-Mursal Na Rahe Kaun Rahega) x2 Mat Girya Karo Degi Yehi Baat Sahara Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Padh Naade Ali Bhai Pe Rone Ke Bajaaye (Takte Hai Meri Raah Wahaa(n) Mawt Ke Saaye) x2 Yeh Kehte Huwe Rota Hai Mera Bhi Kaleja Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Tum Qaatib-e-Taqdeer Se Shikwa Nahi Karna (Ham Ghar Se Chale jaaye Toh Girya Nahin Karna) x2 Bas Marzi-e-Maabud Pe Imaan Hai Apna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Woh Aun-o-Muhammed Ho Ya Abbas Ya Akber (Qasim Sa Hasee(n) Phul Ke Hurr Jaisa Dilawer) x2 Har Eik Ko Yeh Kehke Tere Bhai Ne Bhejaa Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Kulsum Ko Kubra Ko Lo Baba Ko Sambhaalo (Roro ke Na Marjaaye Sakina Ko Sambhaalo) x2 Yeh Keh Toh Diya Usne Sidhaaro Mere Baba Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Kuch Der Huwi Tumne Toh Dekha Tha Yeh Manzar (Hamshir Se Yeh Kehke Chalaa Tha Ali-Asgher) x2 Mai Nusrate Shabbir Ko Jaata Hu(n) Sakina Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Ay Kaash Yeh Din Hamko Bhi Dikhlaaye Muqaddar (Ho "Mazhar-o-Irfan" Bhi Qabre Shah-e-dee(n) Par) x2 Aur Jaate Huwe Hamse Kahe Zehra Ka Beta Zindagi Rahi Toh Phir Milenge Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna Zindagi Rahi Toh Phir Milenge