لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Manam safeer-e-aza

Irfan Haider2008
ShiaNohaLyrics
Manam safeer-e-aza Bar Muhammad wa aal-e-Muhammad salawaat Allahuma salle ala Muhammadin wa aal-e-Muhammad (Manam safeer-e-aza) x2 Manam safeer-e-Karbala Zamee(n) pe hamko bhejkar (Nabi se rabne kehdiya) x2 Yahi to hai wo kaam jo karengi zikr-e-karbala Qabila inka eik hai, Wasila inka eik hai Hussain ke hai matami jo kehrahe hai par mala Maa(n) ki godi mei suni mene ye nawho(n) ki azaan Gutniyo(n) chalne jo paaya to mila farsh-e-aza Sheer-e-madar se mere khun mei ye baat basi Jab talak saans rahe, jaari rahe lab pe sada Manam safeer-e-aza (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 Labo(n) pe hai yahi sada, (mujhe hai fakhr bakhuda) x2 Sabab mere wujood ka bani dua-e-Sayyeda To kyu(n) na jaawu(n) har jaga, Bara-e-majlis-e-aza Sikaarte aza ka kaam Sayyeda ne de diya (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 Suno(n) mere Hussayniyo, (meri sada mei saath do) x2 Nadeem-e-shaah-e-Karbala jo mei bhi hu(n) jo tum bhi ho Kaho ye baat har jaga, Saja ke lab pe karbala Tumhaare khu(n) ki eik eik bund se uthe sada (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 Gineez book hai cheez kya (falak pe likha jaayenga) x2 Tumhaara naam aur iska saath safeer-e-aza Magar bas eik shart hai, Zabaa(n) tumhaari jab khule Sunaao(n) maqsad-e-Hussain bas ye kehke har jaga (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 Jo hai yazeed ke pisar (zabaa(n) kaat de agar) x2 Lahu se ik sada uthe, kare hawaao(n) mei safar yazeed ke sipaahiyo(n), suno meri sada suno Tumhare bas ki baat hi nahi ke mujhko do qaza (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 Hamari dars gaah ka (pata hai sirf karbala) x2 Hamara dil pe hukmaraan hai pisaar Batool ka Jahaa(n) bhi ham rakhe qadam, rahenga dosh par alam Alam utha ke bawafa ka ham kahenge har jaga (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 Sikhaaya waalidayn ne (lahu pe tere qarz hai) x2 Ye zikr-e-Shaah-e-karbala labo(n) pe har ghari rahe Charaagh-e-haq jaalaye jaa, Zamane ko bataaye jaa Mei zakir-e-Hussain hu(n), Hasab nasab hai ye mera (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 Meyaan-e-dasht-e-karbala (har ik shaheed-e-basafa) x2 Badan pe teer khaa ke de raha tha bas yahi sada Shaheed-e-tashnakaam hu(n), Hussain ka ghulaam hu(n) Meri hayaat ka do aam, hai yahi laqab mera (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 Wo bint-e-Shaah-e-La Fatah (Huwi jo qayd se riha) x2 To usne qayd-e-zulm mei manaaya gham Hussain ka Wo pehli majlis-e-aza, Bapa huwi to ye kaha Hussain tu gawaah hai, bani hu(n) baad-e-karbala (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 Sada hai ye "Irfan" ki (suno to "Mazhar Abidi") x2 Gham-e-Hussain ke liye hai waqf meri zindagi Jahaa(n) talaq mere khuda, Karengi zindagi wafa Mere badan se ruh se lahu se aayengi sada (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2 (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2