لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shaam-e-gharibaa(n)

Irfan Haider2008
ShiaNohaLyrics
Shaam-e-gharibaa(n) Kaisi Qayamat Laikar Aayi, Dasht-e-Balaa Mai Sham-e-Gharibaa(n) Saani-e-Zehra Thi Pehre Par, Tashna Dahan Ba Haale Parishaa(n) Aaye Ali, Jab Dashte Balaa Mai, Baap Ko Beti Ne Pehchaana Phenk Diya Tuta Huwa Neza, Kadmon Me Ghir Kar Boli Who Dukhiya Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Aap Aagaye Is Dasht Mei, Accha Kiya Baba Khud Dekhiye Kis Haal Mei, Hai Aapka Kunba Hai Baap Kisi Ka Yahaa(n), Beta Hai Kisi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Paamaal Huwa Dil Mera, Qasim Ki Tarha Se Saughaat Mujhe Kya Mili, Is Karbobala Se Kaata Hai Pas-e-Pusht Se, Sar Mere Akhi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Khaimo(n) Ki Bachi Raakh Hai, Saadaat Ka Bistar Kya Soyegi Is Raakh Par, Shabbir Ki Dukhtar Ye Jalti Huwi Ret Hai, Gehwaara Kisi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Paivast Mere Qalb Mei, Barchhi Ki Ani Hai Zainab Ki Toh Is Dasht Mei, Jaagir Luti Hai Who Dekhiye Laasha Mere, Hamshakle Nabi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Ay Baba Usse Khaagaye, Gham Karbobala Ke Paala Tha Jisse Aapne, Saaye Mei Abaa Ke Hai Dasht Mei Begoro Kafan, Laasha Ussi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Maanga Tha Jisse Aapne, Khaaliq Se Dua Mei Matam Hai Ussi Sheyr Ka, Maqtal Ki Fazaa Mei Gham Khagaya Uss Sheyr Ko, Bas Tashna Labi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka "Mazhar" Yeh Bayaa(n) Sunte Hii, Rone Lagaa Irfa(n) Thi Aale Nabi Dasht Mei, Kis Darja Pareshaa(n) Yeh Dekh Ke Tukre Huwa, Dil Gham Se Ali Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka Abbas-e-Jari Ka, Abbas-e-Jari Ka