لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shehzada e qasim

Irfan Haider2008
ShiaNohaLyrics
Alvida.. shehzada e qasim.. alvida... Saji hui hai karbala jao tumhe allah ko saunpa magar ab kise keh ke bulaunga mai tasweer e hasan alvida gul pairahan qasim e tashna dahan 1) Zainab e khasta jigar aur kulsoom e hazi'n hoke masroof e buka ghash pe ghash khane lagi roke kehti hai phuphi, ay mere shere jawan izn de kyu na akhi, ay mere sher e jawan tu sifarish ke liye laya jo taviz e hasan 2) Bhai shabbar ki mere ik nishani tum ho kaise marne ke liye bhej du mai tumko tumhi akbar ho mere, ay mere sher e jawan tum hi lashkar ho mere, ay mere sher e jawan sang is dil pe rakha phir ye kiye maine sukhan 3) De dia izn e wega thaam ke qalb o jigar tum bhi ho jao juda aye mere noor e nazar jao hafiz hai khuda, ay mere sher e jawan roke sarwar ne kaha, ay mere sher e jawan alvida tujhko kaha hone lagi dil me chubhan 4) Maa ke armaan hain kya ye nahi socha kabhi kya hai behno ki dua ye nahi socha kabhi tum jo marne ko chale, ay mere sher e jawan zakhme dil gehre hue, ay mere sher e jawan bewa lagne lagi ye kehte hi ik shab ki dulhan 5) Maar dalega mujhe teri furqat ka ye gham tu suye dasht na ja tujhko sughra ki qasam waqt ye kaisa pada, ay mere sher e jawan jo ho manzoor e khuda, ay mere sher e jawan dasht se launga gathri me tera tukde badan 6) Ban me jab jaoge tum ye to mujhko hai khabar tan se kardoge juda arzaqe shami ka sar hai magar ye bhi yaqeen, ay mere sher e jawan tujhko gherenge layi'n, ay mere sher e jawan haye ho jayega paamaal ye nazuk sa badan 7) Dasht e ghurbat me mujhe sab ke sab chod gaye aur shahadat ke liye tum kamar basta hue meri turbat ke liye, ay mere sher e jawan char kandhe na rahe, ay mere sher e jawan alvida tujhko kaha hone lagi dil me chubhan 8) Dekh maadar ki taraf kaise karti hai buka aankh me dajlyae gham or honto pe sada dekh mar jaye na maa, ay mere sher e jawan kaise bheju mai wahan, ay mere sher e jawan tu jahan jaane ko kehta hai wo hai maut ka ban 9) Roke mazhar ne kaha ye irfan e aaza jab tasavvur me gaya mera dil kaanp utha kaise maula ne kaha, ay mere sher e jawan ja suye dasht e qaza, ay mere sher e jawan aaj bhi rota hun jab honto pe aata hai sukhan