لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zehra ko do pursa

Irfan Haider2008
ShiaNohaLyrics
Zehra ko do pursa Karbobala Ke Dasht Mai, Be Aasra Aale Nabi Maare Gaye Ansar Sab, Zakhmi Huwa Ibne Ali Munis Nahi Yawar Nahi, Ghazi Nahi Akber Nahi Bikhde Pade Hai Jaa Bajaa, Laashe Kahin Aur Sar Kahin Matam Karo Ehle Aza, Ghar Lutgaya Shabbir Ka Purse Ko Aayi Sayyeda, Matam Karo Ehle Aza Pursa Bhare Ghar Ka Hai Yeh, Jo Karbala Mai Lutgaya (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2 Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka Ik Do pahar Mei Lutgaya, Makhdum-e-Alam Ka Ghar Kaunain Ki Shahzadiyan, Nauha Kuna Hai Nange Sar Tumse Ali Ki Laadli Kehti Hai Yeh Sar Pit Kar (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2 Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka Ai Rone Waalo Kya Kahe, Kaisi Huwi Ham Par Jafaa Kohe-Musibbat Ghir Paraa, Ham Hogaye Be Aasra Har Majlise Shabbir Mai, Aati Hai Zainab Ki Sadaa (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2 Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka Paamaal Hai Farwaa Ka Dil, Paamaal Qasim Ka Badan Mara Gaya Nawshaah Bhi, Pardes Mai Tashna Dahan Shaale Azaa Pehne Huwe, Kehti Hai Ik Shab Ki Dulhan (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2 Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka Nana Ki Jo Taswir Tha, Rukhsat Huwa Khaakar Sinaa(n) Ik Haath Sine Par Rakhe, Behosh Hai Akber Ki Maa(n) Zindaa Rahun Kaise Bhalaa, Hai Umme Laila Ki Fughaa(n) (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2 Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka Kya Asr ka Hungaam Tha, Jab Shaah Par Khanjar Chalaa Woh Teraa Zarbe Shimr Ki, Mazlum Ka Sukha Galaa Maadar Ko Dekha Dasht Mai, Aur Zere-Lab Kehne Laga (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2 Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka Shame-Ghariba Aagayi, Karbobala Roti Rahi Jalti Huwi Uss Khaak Par, Baithi Rahi Aale Nabi Dashte Balaa Mai Marsiya. Karti Rahi Binte Ali (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2 Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka Hai "Mazhar-o-Irfan" Bhi, Farshe Aza Par Maatami Aankhon Se Jaari Alqama, Purse Ka Hai Haq Toh Yehi Marham Dil-e-Zehra Ka hai, Nauhagari Sinazani (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2 Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka