لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aagayai shaam se

Irfan Haider2009
ShiaNohaLyrics
Aagayai shaam se Aa gai sham se lo aapki hamsheer hussain Marsiya karti he ye zainabe dilgeer hussain (Aap mehroome kafan aur mein mehroome rida) x2 Who naseeb apka aur ye meri taqdeer hussain (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2 Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain Shaam ki galiyon se guzri sare darbaar gayi Koi kehsakta nahin teri behan haar gayi (Haaye be makna o chaadar bhi na dastaar gayi) x2 Phir bhi kab dil se miti aapki tasweer hussain (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2 Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain Rah mein khushk na hopaye mere deedae nam Mein zabaa(n) band bhi karlun to shahannshahe umam (Eik ik zakhm sunayega who rudade sitam) x2 Who safar pusht pe durron se he tehreer hussain (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2 Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain Teri ghurbat pe fida ey mere mazloom akhi Waqt ik aisa bhi aya ke behan kaamp gayi (Hukm bachhi ki kaneezi ka suna ta tha shaqi) x2 Bas usi waqt to ghabrayi thi hamsheer hussain (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2 Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain Tey safar kaise huwa kaise mein batlaun bhala Koi hodaj thi na mehmil na amaari na rida (Bas isi dard se khu(n) rota raha zainul iba) x2 Who jo rota to buka karti thi zanjeer hussain (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2 Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain Jis ko suraj ne nahi dekha tha na sar nange kabhi Sham ki galiyon mein sar nange wohi shehzaadi (Eik chadar ki talabgaar laeeno(n) se huwi) x2 Royi neze pe meri chaadar-e-tatheer hussain (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2 Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain Karbala hogayi aabad luti ale nabi Haaye islah na ki ummat se ye soghat mili (Be ghari nawha gari aho buka sina zani) x2 Kya yahi ajre risalat ki he tafseer hussain (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2 Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain Rah mein ale payambar ka dilasa mein bani Sham ke log tamashai tamasha mein bani (Teri rudade masaib ka khulasa mein bani) x2 Khwabe ajdad ko yun milgayi tabeer hussain (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2 Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain Mein bohot royi sakina ko wahan dafna kar Kaam ye pehla kiya hukme rihai paa kar (Qaid khaane mein tera farshe aza bichwakar) x2 Tere chehlum ke liye aagayi dilgeer hussain (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2 Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain Shiddate gham se utha farsh-e-aza par kohraam Bas yahi "mazhar-o-irfan" karo khatm kalaam (De hame is ki jaza shahe najaf shahe anaam) x2 Ab mile ya na mile khuld ki jageer hussain (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2 Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain