لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ab Zindagi Bhar Ya Hussain

Irfan Haider2009
ShiaNohaLyrics
Ab Zindagi Bhar Ya Hussain (Hussain hussain hussain) x2 Ye konsi wiqar he Bala ka sheh sawar he Ye bil yaqeen hussain he Nabi ka noore ain he Libas he phata huwa Lahu mein he ata huwa Tamam jisme naznee(n) chidha huwa kata huwa Magar kuchh ada se aya Fatima ka ladla lahu lahu huwi furat aur sukoot chha gaya kuchh aisa ran para ke kaante pargaye zabaan par khuda ne iske khoon se likha ye aasman par jo ghar luta chukka ali ka ladla to boli karbala hussain marhaba khuda ke saath saath tera zikr hoga ay ghareebe nainawa Ab zindagi bhar ya (hussain)x3 Ab zindagi bhar ya hussain Ab zindagi bhar ya hussain karbobala mein dasween muharram ka roz tha khanjar tale hussain ne sajde mein sar rakha rokar pukari zehra ise kon royega dashte bala mein haatife ghaibi ne di sada Ab zindagi bhar ya (hussain)x3 Ab zindagi bhar ya hussain Ab zindagi bhar ya hussain Woh dil bujhe huwe woh hawaein thami huwi woh ek behan ki bhai pe nazrein jami huwi arzo saman ki saas thi goya ruki huwi zainab ki zindagi ka khulasa ye bangaya Ab zindagi bhar ya (hussain)x3 Ab zindagi bhar ya hussain Ab zindagi bhar ya hussain Din bhar utha ke lata raha aqraba ki laash hamshakle Mustafa ki kabhi bawafa ki laash qasim se shahzada e gulbu qaba ki laash aalam ko jisne kehne pe majboor kardiya Ab zindagi bhar ya (hussain)x3 Ab zindagi bhar ya hussain Ab zindagi bhar ya hussain Jiska hujoom e dardo alam se ye haal tha sina tha pash pash jigar paemal tha Rukh par tha tishnagi ka dhuwan dil nidhaal tha Mojon ki isteraf se aane lagi sada Ab zindagi bhar ya (hussain)x3 Ab zindagi bhar ya hussain Ab zindagi bhar ya hussain Tujhsa shaheed kon he alam me ay hussain Tu he har ek deedae purnam me ay hussain Rote hein do jahaan tere gham me ay hussain Zinda rahega halqae matam mein bhi sada Ab zindagi bhar ya (hussain)x3 Ab zindagi bhar ya hussain Ab zindagi bhar ya hussain Hussain be kafan Hussasin be khata Shaheede Karbala Binae la ilah khuda ke saath saath tera zikr hoga ay ghareebe nainawa Ab zindagi bhar ya (hussain)x3 Ab zindagi bhar ya hussain Ab zindagi bhar ya hussain Har war mein lainon ne chaha ye barha Mit jaye is jahaan se ye majlise aza baqi rahe na naam zameen par hussain ka Lekin nabi ki beti se Allah keh chuka Ab zindagi bhar ya (hussain)x3 Ab zindagi bhar ya hussain Ab zindagi bhar ya hussain Hai daimi hayat tere naqshe pa ke baad Ye raaz chaah na dunya ne teri qaza ke baad te hogayi ye baat bhi karbobala ke baad haq aur yazeediat ka rahega maarka Ab zindagi bhar ya (hussain)x3 Ab zindagi bhar ya hussain Ab zindagi bhar ya hussain ho dor koi Ali ke bte jo baat haq he yuhin rahegi Tere lahu ka ye mojiza he ye khak khake shifa banegi anees ho ya dabeer koi lahu me jabtak he josh baqi khuda ne wajib kiya he sab par qalam likhega zaban kahegi Ab zindagi bhar ya (hussain)x3 Ab zindagi bhar ya hussain Ab zindagi bhar ya hussain koi "Irfan" ho ya ho "Mazhar" hum agar he sada yahi labpar qabl az karbala khuda hi khuda bad az karbala hussain hussain Ab zindagi bhar ya (hussain)x3 Ab zindagi bhar ya hussain Ab zindagi bhar ya hussain