لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bazaar Agaya He

Irfan Haider2009
ShiaNohaLyrics
Bazaar Agaya He Noke sina pe farqe burida salam le Ay Fatima ke qalbe darida salam le Kya tera faisla he Behan kya kare bata (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2 Athara bhaiyon ki behan aur berida Dekho khare hein kitne tamashaai ja baja Dil roke puchhta he, Behan kya kare bata (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2 Khutbon ki tegh saath he aur sabr dhaal he Zakhmon se chur chur badan dil nidhal he Ye meri karbala he, Behan kya kare bata (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2 Naaqon pe ehle bayt bhi gham ke safeer hein Pathhar he taziyane hein neze hein teer hein Zakhmon ki ye dawa he, Behan kya kare bata (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2 Na paak in zabaanon pe ab naam he mera He qafele ka karwan ghairat ka ik khuda Ye gham bohot bara he, Behan kya kare bata (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2 Aankho(n) se kyu na ho meri seylaab-e-gham rawaa(n) Qaydi rasool-e-zaadiyaa(n), Sajjad saarebaa(n) Sadmo(n) ki inteha hai, behan kya kare bata (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2 Jana he sar khule mujhe darbaar kuchh bata Ey karwane dard ke salar kuchh bata Tu zabt ka khuda he, Behan kya kare bata (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2 Nake se girgayi he sakina mere hussain Kya jaane ab kahan he hazina mere hussain Anjaan rasta he, Behan kya kare bata (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2 Darbaar aaraha he behan kya kare bata Kulsum ham nawa he behan kya kare bata Har zakhm puchhta he, Behan kya kare bata (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2 "Irfan" dard he tujhe aur gham se agahi Likhti kitabe ranjo alam "mazhar abdi" Aur naam ye rakha he, Behan kya kare bata (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x3