لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jeete Raho Auno Muhammad

Irfan Haider2009
ShiaNohaLyrics
Jeete Raho Auno Muhammad Al-amaa(n) hazar Kuchh aise lare jang mein zainab ke dulhare maidaan se udu bhage sabhi khof ke mare Ghulthakeran aisa kabhi parte nahin dekha bachhon ko is andaaz se larte nahin dekha barhte the kabhi gah sarak jaate the abbas jab waar who karte the to ye farmaate the abbas jeete raho auno Muhammad (Jeete raho auno Muhammad) x2 Tegh zameen ka hunar tumhi dikhate raho Khoon se talwaar ki pyaas bhujate raho dushmane shabbir ki hasti mitate raho haidari jaaho hasham aur barhate raho Aise laro phir hi kahein fatehe khaiber (Jeete raho auno Muhammad) x3 Aise chale tegh ab dashto daman kaat de Waar karo sar pe tum kar who badan kaat de marhabo antar ke dil tere kafan kaatde Nehr ki har moj ko tashnadahan kaat de Jhoom ke khud teghe ali bole muqarrar (Jeete raho auno Muhammad) x3 Qalb mein jaakar laro lashkare kuffar ke Chehr pe tewar rakho jafare tayyar ke Zarb mein andaaz ho haidare karrar ke Jag uthe dasht se ehle sitam haar ke Aye baqiyyah se sada doshe hawa par (Jeete raho auno Muhammad) x3 Saye se talwar ke mot bhi bachkar chale Ek qadam aage na peeche ye lashkar chale Charon taraf dasht mein mot ka manzar chale Mot kahe kaam kya donon jari gar chale Mere hunar tumne dikhaye hein yahaan par (Jeete raho auno Muhammad) x3 Har baar sada dete the ey gaysuo walo Kya kehna he phir bhar ke wahi haat nikalo Rahwar barhe jaate hein baaghon ko sambhalo Halka he kari aankh zira poshon pe dalo In hathon ke boson ke liye aye payambar Qasim bhi kahe mein bhi kahun aur ali akbar (Jeete raho auno Muhammad) x3 Aun ye kehne lage khub Muhammad lare Goya Muhammad huwe aun bhi behad lare Maut ko bhi dasht mein karte huwe rad lare Donon lare is tarah jaise ab o jad lare Maa bhi dare khaima pe kehne lagi rokar (Jeete raho auno Muhammad) x3 Larte huwe nehr par aagaye al akhtasar narghae ada mein phir girgaye donon pisar Teer kahin se chale aur kahin se tabar Shah ko awaz di girte huwe khaak par Pohonche shahe karbobala tha yahi lab par (Jeete raho auno Muhammad) x3 Agaye abbas ki ankhon mein ashke aza Jeet gaye pyaas se nehr par who mehlaqa Nargae aada mein bhi donon ko ye yaad tha Maa ki naseehat pe hi hogaye donon fida Shukr ke sajde mein giri madare muztar (Jeete raho auno Muhammad) x3 Donon ko maidan se khaime mein laye Hussain Halqa kiye lashon ka karne lage sab hi bain Fizza ne awaz di binte shahe mashreqain Shah pe sadqe huwe dekh tere nure ain Zainabe muztar ne kaha shane hila kar (Jeete raho auno Muhammad) x3 Kya hashr tha khaime mein bapa mazharo irfan Shabbir jo lasho(n) pe huwe lashon chaak girehban Lashon se mukhatib yun huwi zainabe zishan Tum bhai pe qurban huwe tujpe mein qurban Jo kehke chale ghar se wohi karke dikhaya Ab qadr huwi maa ko bara fakhr he tumpar (Jeete raho auno Muhammad) x3