لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kehti thi Sakina ro ro kar

Irfan Haider2009
ShiaNohaLyrics
Kehti thi Sakina ro ro kar Haye Sakina (x6) Shab ki tareeki mein aksar Zindane sham mein ghabrakar Shimr ke ddar se yaade padar se Maa se lipat kar (Kehti thi sakina ro ro kar, Ay amma yahan se riha ho kar, Ya najaf chalo ya watan chalo) x2 Koi sunta nahin faryad meri (He zakhm bara is dil pe yahi) x2 Dada se kahungi ghum apne Jis roz yahan se jaaoungi Kab tak mein rahungi nawhagar Kehti hun jabhi to mein aksar (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2 Kehti thi sakina ro ro kar Ay amma yahan se riha ho kar Ya najaf chalo ya watan chalo Dada ki lahad par jaaoungi (Ye neel unhe dikhlaungi) x2 Ye zakhmi kaan jala kurta Sughra ko dikhane jaaoungi yaad aye kabhi mujhko khwahar Yaad ayein kabhi dada haidar (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2 Kehti thi sakina ro ro kar Ay amma yahan se riha ho kar Ya najaf chalo ya watan chalo Jo bibi payambar zaadi he (Wo bhi to yahaan faryaadi he) x2 Yasrab ke tasawwur ne amma Ek rahe sukoon dikhlaati he Ho khatm aziyyat ka ye safar Bhar jaayenge sare zakhme jigar (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2 Kehti thi sakina ro ro kar Ay amma yahan se riha ho kar Ya najaf chalo ya watan chalo Ab aur ghamo(n) ki taap nahin (Ro ro ke ye ankhein khushk huwi) x2 Kya tum ko gawara he amma Ban jaye mera marqad bhi yahi Kuchh khauf nahin marne ka magar Ehsaan karo itna mujhpar (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2 Kehti thi sakina ro ro kar Ay amma yahan se riha ho kar Ya najaf chalo ya watan chalo Har raat huwi matam mein basar (Har din hi guzara ro ro kar) x2 ye zakhme aseeri zakhme jigar Zalim ke tamaache yaade pidar Milti he sazae maut agar Ye akhri khwahish he maadar (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2 Kehti thi sakina ro ro kar Ay amma yahan se riha ho kar Ya najaf chalo ya watan chalo Azad parindon par aksar (Ay amma meri jaati he nazar) x2 Us waqt khayal ata he mujhe Kab qaid se chhut kar jaayenge ghar He khof laino(n) ka dilpar Faryaad karun kyu(n) na rokar (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2 Kehti thi sakina ro ro kar Ay amma yahan se riha ho kar Ya najaf chalo ya watan chalo Ankhon ko rasai dene lage (Sab zakhm duhai dene lage) x2 Jab mot mere sar par aayi Ye log rihai dene lage Ye lamhe ghaneemat he maadar Ye zakhm banenge rakhte safar (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2 Kehti thi sakina ro ro kar Ay amma yahan se riha ho kar Ya najaf chalo ya watan chalo Dada ko wahaan pursa denge (Phir fateha khani karlenge) x2 Jab dil ko sukoon miljayega Ham log watan ko jaayenge Sab royenge qabre zehra par Jo meine kaha socho manzar (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2 Kehti thi sakina ro ro kar Ay amma yahan se riha ho kar Ya najaf chalo ya watan chalo "Irfan" aur mazhar apna watan (He bibi sakina ka madfan) x2 Nisbat he najaf ki matti se Payenge usi dharti ka kafan Jab waqte qaza hoga humpar Kehdenge farishto(n) se rokar (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2 Kehti thi sakina ro ro kar Ay amma yahan se riha ho kar Ya najaf chalo ya watan chalo