لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sadqa ali asghar ka

Irfan Haider2009
ShiaNohaLyrics
Sadqa ali asghar ka Inkar asmaa(n) ko he Razi zameen nahi(n) Asghar tumhare khoo(n) ka thikana kahi(n) nahi(n) Chehre pe khun mal ke shahenshahe behrobar Ehsaan kardiya he bara qainat par Ye zameen asghar ka sadka asmaan asghar ka sadka (roze ashura se ab tak) x2 khaa rahe hein dono(n) jahaa(n ) sadka ali asghar ka sadka ali asghar ka Yunhi nahin ye bezubaan Babul hawaij bangaya Is ke waseele se khuda Sunta raha sab ki dua Dunya ke har zi nafs ko Likhna para kehna para (roze ashura se ab tak) x2 khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka sadka ali asghar ka Malik he ye kaunain ka Beta he ye hasnain ka Is bezaban se lo laga Zamin he ye sukh chain ka Jab milgayi gham se shifa Nara bana darain ka ( roze ashura se ab tak) x2 khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka sadka ali asghar ka Ye rizk jo khate hei(n) hum Kaise mila kyunkar mila Sunkar zamee(n) is baat ko Kehne lagi ye bar mala Mein banj hojati agar Girta lahu besheer ka (roze ashura se ab tak) x2 khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka sadka ali asghar ka Tum jab kabhi Pani piyo Shukre Ali Asghar kaho Shukre Ali Asghar kaho Jab rizk ki tangi na ho Ye baat mein ne kyun kahi Is ka sabab he momino (roze ashura se ab tak) x2 khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka sadka ali asghar ka Shabbir ke besheer ka Jhula kahin jo dekhlo Pehle karo usko salam Aur phir ziyarat bhi karo Koi sabeel aaye nazar Jab rah mein to ye kaho (roze ashura se ab tak) x2 khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka sadka ali asghar ka Ye raz he ya mashwara Sunlo magar ahle aza Jab bhook ki shiddat barhe Miljaye jab aabo ghiza Karna isi besheer se In nematon ka shukriya (roze ashura se ab tak) x2 khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka sadka ali asghar ka Is dard mein dube huwe Qirtas ne samjha diya Chehre pe jo sheh ne mala Us khun ne batladiya Meine parhi jab karbala Ehsaas ne samjha diya (roze ashura se ab tak) x2 khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka sadka ali asghar ka Har majlise shabbir mein Kehta he har zakir yahi Is majlise shabbir mein Bethi he maa shabbir ki Miljata he unko sukoon Kehte hein jab ye maatami (roze ashura se ab tak) x2 khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka sadka ali asghar ka Jo zojae hur laayi thi Pyasion ki khaatir haziri Ghar ghar mein ye ehle aza Karte hein uski perawi Jab dekhte hein haziri Kehta he dil ro kar yahi (roze ashura se ab tak) x2 khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka sadka ali asghar ka Irfano mazhar abidi Pegham he apna yahi Socho agar to rizq hein Ye ilm or ye agahi Unke karam ki bheek he Ye lafz aur ye shairi (roze ashura se ab tak) x2 khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka sadka ali asghar ka Asghar tumhare hasne pe roti he foje sham Tum teer kha ke aye ho ya teer maarke Deene haq ke tazkiron ko is tarah se aam kar Name asghar ka wazifa har ghari har gaam kar Jab khuda ke deen ke saare sahara chhut gaye Tab chala deene khuda asghar ki ungli thaam kar