لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sakina Ka Janaza

Irfan Haider2009
ShiaNohaLyrics
Sakina Ka Janaza Hai bekasi sajjad ki Ehsaas huwa jab ke qaza kargai sakina Hasrat se bandhe hathon ko mein dekh raha tha Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza Sajjad ka zindaane sitam mein tha ye nawha Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza Faqon pe basar karta raha mein nahin roya Kanton pe safar karta raha mein nahin roya Is gham ne mujhe ankhon se haye khun rulaya Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza Pathrayi huwi ankhon ne mujhko ye khabar di Ehsaas huwa jab ke qaza kargayi bachhi Hasrat se bandhe hathon ko mein dekh raha tha Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza Taqdeer ne ay baba sitam kaisa kiya he Maut aane se pehle hi mujhe maar diya he Zindaan mein aakar mujhe batlaao khudara Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza Hei(n) beriya(n) pero(n) mei(n) magar dil he giraftar ye kaisi ghari ayi imamat huwi lachaar Ejaze imamat na dikhau(n) to karu(n) kya Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza Na taaqti aisi he ke chalne nahi(n) deti Zainab ne kaha uspe ye zanjeer he bhari Sajjad sambhalu(n) mei(n) tujhe ya mere beta Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza Chipka tha badan se jo wohi kurta kafan he Ye soch ke khun rota ye mehroome watan he Kis tarah sakina ko yahaa(n) dafn karunga Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza Is bachhi ne ghurbat mei(n) bohot saath diya tha Peene ko mila pani to zanjeero(n) pe dala Afsos ke mei(n) uski madad kar nahi(n) paya Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza Zanjeer bhi he nawha kuna mein bhi haram bhi Zindan mein he masroofe fugha mein bhi haram bhi Is manzare ghamnaak pe sab karte hei(n) girya Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza "Irfan-e-aza" tera har ek lafz he "mazhar" Phir bhi tu raqam kar nahin paya he who manzar Ye baat he sajjad ke nawhe ka khulasa Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza (Hai bekasi sajjad ki)x3