لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain o minni wa ana minal hussain

Irfan Haider2011
ShiaNohaLyrics
Hussain, hussain, hussain ya hussain..(2) Sada e rabb e jaha'n..(3) Jabee'n kushada hussain batool zada hussain mera irada hussain nibhane wada hussain malaeka ki safo se nuzool tak pohcha phir ambiya ki safo se rasool tak pohcha mere hussain ka duniya mein jab zahoor hua rasool e haqq ne padha hukm e rabb se ye kalma hussain o minni wa ana minal hussain..(2) bata gaya hai nabi khuda ka..(2) hussain mujhse hai, mai hussain se hu hussain o minni wa ana minal hussain hussain, hussain hussain o minni wa ana minal hussain hussain, hussain 1. Misaal e fatah e badr o hunain mera hussain meri batool ki aankho'n ka chayn mera hussain khuda ke deen ki hai zayb o zayn mera hussain hai mere baad shah e mashraqayn mera hussain zamane bhar ki pukaar hai ye mere lahoo ka weqaar hai ye ye mera jism, meri jaan, mere dee'n ki baqa hussain o minni wa ana minal hussain hussain, hussain 2. Kul ambiya ki amanat isi ke haath mein hai usool e deen, shariyat isi ke haath mein hai meri baqa meri izzat isi ke haath mein hai kalam e paak ki hurmat isi ke haath mein hai lahu se aisa payaam dega shari'ato'n ko amaan dega meri hadees ki tafseer hogi karbobala hussain o minni wa ana minal hussain hussain, hussain 3. Khuda ke hukm ki tameer hogi maqtal mein ali ke ishq ki takmeel hogi maqtal mein bisaat deen ki tabdeel hogi maqtal mein hayaat maut ki qandeel hogi maqtal mein hussain mujhko nijaat dega ye deen e haq ko hayaat dega ye raaz jaan ke mere nabi ko kehna pada hussain o minni wa ana minal hussain hussain, hussain 4. Ye meri god mein hai aur tasawwurat mein kya mere hussain ka maqtal bani hai karbobala ghumo se choor thakan se nidhaal sar pe qaza mitake bay'at e fasiq bachake deen e khuda lahu se darya ko laal karke yazidiyat ka qetaal karke jo qatl gaah ki janib badha to rabb ne kaha shukriya, shukriya, shukriya hussain tera shukriya shukriya, shukriya, shukriya hussain tera shukriya hussain tera shukriya hussain tera shukriya hussain tera shukriya keh raha hai khuda, hussain tera shukriya ke tune deee'n bachaliya, hussain tera shukriya jo ambiya se nahi ho saka wo tune kiya shukriya, shukriya, shukriya hussain tera shukriya hussain tera shukriya 5. Teri himmat pe ye kaunain fida tashna dahan tune jo waada kiya pura hua tashna dahan khoo'n se maqtal ko jo sayraab kiya tashna dahan..(2) ibn e zahra o ali aye wali ibn e wali tujhse mai raazi hua, aye shahe karbobala aisa maqtal saja diya tune marke jeena sikha diya tune hashr tak karte rahenge ye shaheedan e wafa as-salam o alal hussain, wa ala aliyibnil hussain wa ala auladil hussain, wa ala ashabil hussain Majlis o matam ki baqa Hussain Hai ye tere ehle azaa Hussain Matami seeno se suno Hussain Aati hai labbaik sadaa Labbaik ya hussain..(4) Ye matami lashkar hai himmat ka samandar hai aayi jo alamdari har fard dilawar hai dekho to wafadari dekho to ye khuddari marne ki ye tayyari aur lab pe sadaa jaari kya nazra ki takleefo mein mazaaa jab maut aayega jawani mein kya lutf janaza uthne ka har gaam pe jab matam na ho Hussain ya hussain..(4) Marne chala jo ghar se koi matami jawaa'n ye kehke azm uska badhati hai uski maa roke hai meri aankh se aasu abhi rawaa'n lekin jo maut saamne aaye to meri jaa'n himmat na haar jana qasam hai batool ki kar lena yaad jung shabeeh e rasool ki Hussain ya hussain..(4) Wo teen din ki pyaas wo akbar wo fauj e shaam wo dhoop razm gaah ki wo nusrat e imaam tegho ki chhao teero ka meyaar o ajdahaam naiza kisi ka aur jigar e akbar e anaam bijli si har taraf khaso khashaak par giri tasveer mustafa ki juhi khaak par giri Hussain ya hussain..(4)