لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Saqiya lata shay abal fazlil abbas

Irfan Haider2011
ShiaNohaLyrics
Aye sakhi babul hawaej, aye sakina ke chacha zainab o kulsoom ki chadar haram ka aasra aye jaree tum fatema zehra ke dil ki ho dua..(2) bachho ki aas ho, tum to abbas ho..(2) pyaase bachho ke labo'n par hai nauha pyaas ka saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3) 1. Jo hai jaho hasham, uska rakho bharam karti hai ye buka, bint e shah e umam aaya hoto'n pe dum, ye lo mashk o alam..(2) ye na ho pyaas se mar jaye pyaase be khata mere pyaare chacha... abal fazlil abbas saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3) 2. Sunlo aye bawafa, al-atash ki sada shiddat se pyaas ki jeena mushkil hua kuze haatho mein hai, aur lab pe ilteja..(2) pani le aao isse pehle ke aaye qaza mere pyaare chacha... abal fazlil abbas saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3) 3. Lashkar e ashqiya'n, ghere hai alqama teen din hogaye, paani nahi mila ghar ko aaya nahi, maqtal ko jo gaya..(2) tum to khaibar kusha ke laal ho jao zara mere pyaare chacha... abal fazlil abbas saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3) 4. Sab hi din bhar gaye, sadme dekar gaye zainab ke laadle, bhaiyya akbar gaye sheh par hone fida auno jafar gaye..(2) tum hi ho paas tumse aas hai aye bawafa mere pyaare chacha... abal fazlil abbas saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3) 5. Dekho sukhi zabaa'n aye meer e karwaa'n tumse bole nahi to phir jaaye kaha'n zulmat ki dhoop hai aur tum ho sayebaa'n..(2) tumto is dasht e bala mein ho sabka aasra mere pyaare chacha... abal fazlil abbas saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3) 5. Sunke aaho buka, ghazi e bawafa leke mashk o alam, dariya ko chal diya sheh ne thami kamar, zainab ne ki dua..(2) mere mabood zindabad rahe ye sada saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3) 6. Pohcha wo bawafa, wo cheeni alqama mashkiza bhar liya, khaimo ko chal diya chhid gayi teer se, mashk paani baha..(2) girte dekha jo alam sheh ne kiya marsiya saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3) 7. Bazu karke fida, ghode se jab gira girte hi khaak par aaka ko di sada pohche shahe umam, laashe pe ki buka..(2) mujhko ek baar kaho bhai mere bawafa saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3) 8. Fizza ne di khabar, bibiyo'n peeto sar tha jiska aasra sogaya nehr par pyaase ghash kha gaye, ro diye behrobar..(2) khaimo mein mazhar o irfan ye kohraam tha saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3) Do laashe aise hai, khaimo mein nahi aaye ek laasha sarwar ka, ek laasha ghaazi ka