لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sughra acha hi kiya

Irfan Haider2011
ShiaNohaLyrics
Haye sughra..(2) Haaye Jo chhut ke shaam ke zindaa se aayi binte ali Nabi ke roze pe sughra se roke kehne lagi sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2) Warna meri tarha chhin jaati tumhari bhi rida sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2) 1. Tum charagho ko yaha takti rahi shamo sahar khoo rulati thi tumhe roz yaha yaad e padar tumne akbar ke kaleje me na dekha naiza sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2) 2. Kya batau ke waha kaise masaeb toote ek hi roz me sab god ke paale chhoote ek ek laash pe khaimo me qayamat thi bapa sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2) 3. Kis tarha aun o mohd ke janaze aaye shaah maqtal se unhe kaise utha kar laye sunke karti ho buka dekh ke aajati qaza sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2) 4. Ghash pe ghash khaati thi saidaniya karti thi buka ek ghatri me jo qasim ka sarapa aaya us ghadi khaima e sadaat me mehshar tha bapa sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2) 5. Meri in ankho ne dekha hai wo manzar dukhiya baap ke kaanpte haatho pe pisar ka laasha saath akbar ke tumhara bhi janaza uthta sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2) 6. Haye paani lene ko tarai pe gaya tha saqqa phir alamdaar nahi sirf alam aaya tha haye maqtal se kamar thaame tumhare baba sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2) 7. Maslehat kya thi tumhe le na gaye kyu sarwar asr e aashoor khula raaz ye sughra mujhpar pushte shabbir pe qatil tha sarhane zehra sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2) 8. Haye kaise manzar wo kare mazharo irfan bayaa thi ye sughra ke qareeb zainab e muztar ki fughaa mere baalo ki safedi me hai ye raaz chhupa sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2) Haye sughra..