لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Umr bhar royi sakina

Irfan Haider2011
ShiaNohaLyrics
Haye sakina ki ghareebi..(2) baap ko khwaab mein dekha to pukari dukhtar aap jis din se gaye..(2) aye mere mazloom padar phir iske baad kaha'n soyi sakina umr bhar royi sakina..(2) phir iske baad kaha'n soyi sakina, baba umr bhar royi sakina..(2) 1. Aap maqtal ko sidhare to hui khaak basar raakh sab khaime hue jalke phuphi bechadar tumne pehnaye the jo..(2) le gaya zalim wo gauhar phir iske baad... 2. Bhoolna chaha bhi lekin na bhula payi wo baat naqsh is dil pe hue hai wo sukoo ke lamhaat aapke seene pe mai..(2) soyi thi ashoor ki raat phir iske baad... 3. Mere rukhsaar pe dekho to tamacho'n ke nishaa'n aankh se ashk to kaano se lahu bhi hai rawaa'n aapke sar ki qasam..(2) qaidi hui jab se yahan phir iske baad... 4. Baba hum gyarah(11) moharram ko safar par nikle shaam ki samt sabhi qaidi chale rote hue kaise batlau tumhe..(2) raah mein jo zakhm mile phir iske baad... 5. Chalte naaqe se mai ek baar giri mehwe fugha'n qafila roka gaya qaidi hue nauha kuna dadi zehra se mili..(2) soyi thi kuch der wahan phir iske baad... 6. Baba ek ye bhi qayamat ka sitam tha hum par shaam ke logo ne barsaye the hum par patthar pattharo se jo lage..(2) zakhm dile nazuk par phir iske baad... 7. Tees ghanto ka safar wo bhi aseeri ki liye phir bulaya mujhe zalim ne kaneezi ke liye ye sitam kam to nahi..(2) aap ki beti ke liye phir iske baad... 8. Aap ki yaad, tamacho ke sitam, tanhai dekho taqdeer sakina ko kahan le aayi baba jis roz se mai..(2) qaid e sitam mein aayi phir iske baad... 9. Bayn irfan sakina ke likhe kya mazhar baap ko khwab mein dekha to pukari dukhtar aap jis din se gaye..(2) aye mere mazloom padar phir iske baad kaha'n soyi sakina, baba