لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas e Naujawanam

Irfan Haider2014
ShiaNohaLyrics
Haay.. Jab hue bazu-e-abbas qalam, darya parr.. Girke thanda hua hazrat ka alam, darya parr.. Gharke khoo hogaya wo behre karam, darya parr.. Girte hi ghode se aaqa ko pukara rokar Shaah khaime se chale, tha yahi nauha lab par Baradar baradar..(2) Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar Sada-e-qud-o-kanam, Baradar baradar Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar Sadae teri sunkar chala hai dil pekhanjar, abbas-e-naujawanam Madad ko aao aaqa sitam hua hai mujhpar..(2) Labo pe aagaya dum..(2) Baradar baradar..(2) Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar Sakina dar pe baithi bula rahi hai tujhko, abbas-e-naujawanam Tujhe khabar hai ghazi na jine dega usko..(2) Tere bichadne ka ghum..(2) Baradar baradar..(2) Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar Tadap rahi ha behne ghashi hui ha taari, abbas-e-naujawanam Ujad gayi abhi se waha ali ki beti..(2) Meri kamar hui kham..(2) Ajeeb hai ye ghurbat tadap rahe hai dono, abbas-e-naujawanam Ye ghum mila qayamat tadap rahe hai dono..(2) Waha tum aur yaha hum..(2) Baradar baradar..(2) Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar Utha ke khaali kuze ye tashna lab pukare, abbas-e-naujawanam Jo tu nahi hai ghazi kise dil ab pukare..(2) Lahu lahu hai alam..(2) Baradar baradar..(2) Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar Na jee sakunga mai bhi tere bina alamdaar, abbas-e-naujawanam Jo tera ghar se jana rulaega alamdaar..(2) Bapa karunga matam..(2) Baradar baradar..(2) Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar Qareebe bawafa jab pohoch gae shahedeen, abbas-e-naujawanam Jabee se khoo hata kar ye kehte the shahedeen..(2) Kaho hame labe dum..(2) Baradar baradar..(2) Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar Sada ye sheh ki sunkar tadap gaya alamdaar, abbas-e-naujawanam Mujhe hai ye khijalat haram hai sab azadaar..(2) Kaha juhi gaya dum..(2) Baradar baradar..(2) Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar Tu irfane wafa hai mai mazhare masaeb, abbas-e-naujawanam Mai uska hu jo tere baya kare masaeb..(2) Ye martaba bhi hai kam?..(2) Baradar baradar..(2) Abbas-e-naujawanam..(2), Baradar baradar