لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ahista Chalo

Irfan Haider2014
ShiaNohaLyrics
Haay.. Damishq ka hai safar berida hai aale nabi Na mehmile na kajawa hai na hawdaj hai koiii Aseer sab the magar ek hi rasan me bandhe Gala sakina ka hai shaane haram ke jakde hue Rasan jo khichti hai karti hai sakina naale.. Thehro. Ahista chalo..(3) Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2) Ae amma gala is tarah jakda hai rasan me Do gaam bhi chalne ki nahi jaan badan me..(2) Khulwa do rasan..(2) kardo ye ehsaaan, rassi se gala ghut-ta hai mera Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2) Kis shaan se nikli thi sawari mere ghar se Ammu mujhe khud laaye the mehmil me bitha ke..(2) Ek ye hai safar..(2) Haaye phuphi jaan, rassi se gala ghut-ta hai mera Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2) Ye dekhke rote hai mere baba sina par Rone pe mujhe durre lagata hai sitamgar..(2) Rote hai isi..(2) Ghum me chachajaan, rassi se gala ghut-ta hai mera Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2) Kya din hai mere naaz uthata nhi koi Amma meri saaanso ka bharosa nhi koi..(2) Chehre se aziyat hai..(2) Numaayaa, rassi se gala ghut-ta hai mera Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2) Mai aapke zakhmo se bhi waqif hu phuphijaan Kuch wade nibhane hai mujhe barsare zindaan..(2) Bus kehti hu mai, bus kehti hu Bahaale pareshaan, rassi se gala ghut-ta hai mera Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2) Marjaengi marjaegi is raah me muztar Dada ko sada deti hu har gaam tadap kar..(2) Ya shahe najaf..(2) Sayyede zeeshaan, rassi se gala ghut-ta hai mera Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2) Ae amma kaleje me ulajhne lagi saanse Ab aur safar karne ki taqat nahi mujhme..(2) Jaa paungi kya..(2) Janibe zindaan, rassi se gala ghut-ta hai mera Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2) Ae mazharo irfan sakina ki fugha par Zainab ne kaha mai bhi tadap jati hu dukhtar..(2) Jab kehti hai tu..(2) Mujhse meri jaan, rassi se gala ghut-ta hai mera Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2)