لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye gul-e-narjis biya biya

Irfan Haider2014
ShiaNohaLyrics
Al-ajal ya imaam..(4) Al-ajal, al-ajal ya imam-e-zamaan Al-ajal, al-ajal ya imam-e-zamaan al-ajal..(2) As-salam-o-alaika ya sahib-az-zamaa.. Tera hai intezaar aaja, ya imaam Zehra ke pursadaar aaja, ya imaam Waris-e-zulfiqaar aaja, ya imaam Al-ajal ya imam Aajaiye bus aap ka hi intezaar hai, intezaar hai Is daur ka ilaaj faqad zulfiqaar hai, zulfiqaar hai Behre inteqam-e-pehlu-e-zehra..(2) Behre inteqam-e-khoon-e-husain Aye gul-e-narjis biya biya..(2) Aisa ho ek ashura, kaabe me majlis ho barpa Tu mimbar pe jalwa numa, tu padhe majlis hum nauha Tere bina ho kese khwaab ye pura Kabe se nikle juloos-e-ashura Ae ibn-e-sarallah, jaan-e shere khuda, waris-ul-aimmah, ae hujjat-e-khuda Behre inteqam-e-pehlu-e-zehra..(2) Behre inteqam-e-khoon-e-husain, hussain hussain hussain Aye gul-e-narjis biya biya..(4) Tu hai farzand-e-zehra todke sadiyo ka pehra Tu hi jiska waris hai kabe tu wo alam lehra Hum hi nahi hai azadaar hai tub hi Tera alam hai alamdaar hai tub hi Ae ibn-e-sarallah, jaan-e shere khuda, waris-ul-aimmah, ae hujjat-e-khuda Behre inteqam-e-pehlu-e-zehra..(2) Behre inteqam-e-khoon-e-hussain, hussain hussain hussain Aye gul-e-narjis biya biya..(6) Saath tere ye ehl-e-aza jaaye shaam aur karbobala Qabr-e-shahedeen par jaakar de tujhe tere jadd kar pursa Aisa banaye waha matami halqa Jis me ali bhi ho, hasan bhi aur Mustafa Ae ibn-e-sarallah, jaan-e shere khuda, waris-ul-aimmah, ae hujjat-e-khuda Behre inteqam-e-pehlu-e-zehra..(2) Behre inteqam-e-khoon-e-hussain, hussain hussain hussain Aye gul-e-narjis biya biya..(6) Qaatilan-e-sheh ko mita de, saara jahaa milkar ye sadaa de Sayyad-us-shohada, hussain hussain Mazloom-e-karbala, hussain hussain Waris-ul-ambiya, hussain hussain Ae ibn-e-sayyada, hussain hussain Saare zamane me yahi gunje ek naara, hussain hussain Aye gul-e-narjis biya biya..(6) Aap hi qaaed ho hamare, farsh-e-aza pe har dil ye pukare Sayyad-us-shohada, hussain hussain Mazloom-e-karbala, hussain hussain Waris-ul-ambiya, hussain hussain Ae ibn-e-sayyada, hussain hussain Masjid me bhi, mandir me bhi , gunje ek naara, hussain hussain Aye gul-e-narjis biya biya..(6) Ye jahaa bhool na jae kahi karbobala, al madad ya imam-e-zamaa Ja bajaa dekhe nigaahe yuhi farsh-e-aza, al-madad ya imam-e-zamaa Kaun hai waris-e- farsh-e-aza maula Kise bulae tere siwaa..(2) Aye gul-e-narjis biya biya..(6) Marqad-e-khair-un-nisa pet u roza bana, al madad ya imam-e-zamaa Zulm ki zadd pe hai roza bibi zainab ka, al madad ya imam-e-zamaa Jab likha tujhko ariza yahi baat likhi Kise bulae tere siwaa..(2) Aye gul-e-narjis biya biya..(2) Haay.. Manzar ye padhke aaj bhi hote hai dil figaar Baithe hue hai aap musalle pe ashkbaar Deodi pe zuljanaah ho alam bhi hai sogwaar Pehlu me zulfiqaar hai chalne ko beqaraar, chalne ko beqaraar Wirde zabaa hai ziyarat-e-naahiya baar baar Haay.. Ho salaam unpe ke jin laasho ko paamaal kiya Ho salaam uspe dame qatl jo pyaasa hi raha Ho salaam uspe ke paikar se chhida jiska gala Ho salaam uspe jo tukdo me bata wa waila Jiska laasha mehroom-e-kafan uspe salaam Jiska loota gaya ek din me chaman uspe salaam Hussain maula hussain maula..(3) Haay.. Jiske seene me hai barchi ki ani usko salaam Jo tha hamshakl-e-rasool-e-madani usko salaam Aag jis bibi ke daaman me lagi usko salaam Nauke naiza se rida jiski chini usko salaam Jinke baazu hue paband-e-rasan unpe salaam Jinke zakhmi hue durro se badan unpe salaam Hussain maula hussain maula..(3) Sad alwida hussaina, hussain hussain hussaina Ya hasrata hussaina, hussain hussain hussaina Wa ghurbata hussaina, hussain hussain hussaina Ae bekhata hussaina, hussain hussain hussaina Bus taziyana harjaa, , hussain hussain hussaina Haay Pehlu-e-bint-e-zehra, hussain hussain hussaina Hussain maula hussain maula hussain Bekas, Ghareeb, Shaheed, pyasa. Hussain hussain hussain..