لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Dua Karo Amma

Irfan Haider2014
ShiaNohaLyrics
Madina chhod chala, aaj mohd ka nawasa Dua karo amma, dua karo nana..(3) Waade nibhaye saare..(2) Pardes jaane wale Dua karo amma, dua karo nana..(2) Lahu se apne sajaunga karbala ki zamee Mai garm ret pe rakhdunga khoo bhari ye jabi Kardunga ghar ka ghar mai..(2) Khud maut ke hawale Dua karo amma, dua karo nana..(2) Tamaam ambiya royenge dekhkar manzar Uthake aag ke darya se apne hatho par Launga unke laashe..(2) Jo god ke hai pale Dua karo amma, dua karo nana..(2) Zamana kehta hai baba ko saqiye kausar To kyu na pyaas bujha du mai karbala jaakar Sab khoon ke hai pyaase..(2) Amma wo shaam wale Dua karo amma, dua karo nana..(2) Ye zulm dekhna ae amma karbala aake Mere watan se mere ghar se meri ankho se Akbar ke saath rukhsat..(2) Hojayenge ujale Dua karo amma, dua karo nana..(2) Na kaatle ye laee aakar bezabaan ka sar Zameen ko sopunga ye kehke laasha-e-asghar Ae khaake karbala tu..(2) Is chaand ko chupa le Dua karo amma, dua karo nana..(2) Banake turbat-e-asghar jo ran se aaunga Libase kohna jo zainab se mai mangaunga Gunjenge karbala me..(2) Pardesiyo ke naale Dua karo amma, dua karo nana..(2) Jo chhut ke shaam ke zindaa se aaenge qaidi Tumhe sunaenge roro kar daasta apni Nana wo zakhm-e-dil ho..(2) Ya paav ke ho chhale Dua karo amma, dua karo nana..(2) Gulu-e-khushk pe jab hoga shimr ka khanjar Kahegi ret ke teele par zainab-e-muztar Koi sitamgaro se..(2) Shabbir ko bacha le Dua karo amma, dua karo nana..(2) Wo chaahe mazhar-o-irfaa ho ya qalam unka Tum usko ajr me dedena haq shifaat ka Jisne mere masaeb..(2) Ashaar me hai dhaale Dua karo amma, dua karo nana..(2) Madina chhod chala