لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Farsh-e-Aza

Irfan Haider2014
ShiaNohaLyrics
Hussain hussain hussain ya hussain Hayya ala khairil amal Hussain hussain hussain ya hussain Ya Hussain, Ya hussain Farzand-e-zahra aba abdillah, sada de rahe hai maqtal se.. Tumhe rasool ki beti ka salaam Har jagah majlise bapa karna Karbala walo se wafa karna Zindagi waqf-e-karbala karna Sunnat-e-zainab-o-sajjad nibhane keliye chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2) Husaini fikr ko zinda rakho badhao qadam Nazar me rakho alamdar-e-karbala ka haram..(2) Kaisi qismat kaha ki taqdeerein Chodkar dehr ki ye jageerein Tod kar waqt ki ye zanjeerein Apne bachho ko alamdaar banana ke liye chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2) zamee se arsh-e-moalla ka faasla hai bohot magar husaini qabeele ka hausla hai bohot..(2) bint-e-zehra pe bharosa to karo.. apni takhleeq pe socha to karo saath wo dengi iraada to karo chaand par parcham-e-abbas lagane ke liye chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2) jahan hussain nahi ho wo koi ghar to nahi qasam hussain ki ye kaam bhi mushkil to nahi..(2) marefat kya hai batane ke liye.. roz meraaj pe jaane ke liye uski tauqeer badhane ke liye hauz-e-kausar pe in ashko ko milane ke liye chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2) arsh ho khuld ho kausain ya karbal ki zamee tum azadaar ho tum par koi pabandi nahi..(2) haisiyat apni khudara samjho.. ye bhi zehra ki hai ata samjho kya hai ye zikr-e-karbala samjho saari duniya ko azakhana banana ke liye chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2) shahe dilgeer ki hamsheer ka matam na ruke saans ruk jaye ye shabbir ka matam na ruke..(2) duniya walo ne isko kya jaana.. kya hai shabbir ka ye afsana qaid khana ho ya azakhana maqsad-e-hazrat-e-shabbir bachane ke liye chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2) ek halqa ho azadaro baraye matam hai isi baat me poshida baqae matam..(2) sabke seeno me ho tazeem-e-aza.. hone dena nahi taqseem-e-aza haan ise kehte hai tanzeem-e-aza halqa-e-matam-e-shabbir badhane ke liye chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2) kya kabhi bhool sake shaam-e-ghareeba ka dhua dast-e-shabbir pe asghar to kabhi laashe jawaa..(2) gunji maqtal me ye zainab ki sadaa.. roke ye khaak nasheeno se kaha rahe koofa ho ke bazaar-e-jafa mere mazloom ka paighaam sunane ke liye chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2) jab mila hukm-e-rehai to ye zainab ne kaha qaidiyo aao kare matam-e-shabbir bapa aao fizza padho hadis-e-kisa marsiya tum padho kulsoom zara zakiri tumkaro ae zainul eba aisa matam ho mere bhai ka gunj uthi mazhar-o-irfan sadaa.. khuld se aagai hai maa zehra nauha sunne ko mere baqer ka ya abbasa hussaina..(2) ya mazlooma hussaina ya asghara hussaina ya akbara hussaina ya qasima hussaina ya zainaba hussaina ya sakina hussaina ya aliya hussaina ya fatema hussaina Hussain hussain..