لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zehra Ko Do Pursa

Irfan Haider2014
ShiaNohaLyrics
Karbobala ke dasht me be aasra aale nabi Maare gaye ansaar sab, zakhmi hua ibne ali Munis nahi yawar nahi, ghaazi nahi akbar nahi Bikhre pade hai ja baja, laashe kahi aur sar kahi Matam karo ehle aza, ghar lut gaya shabbir ka Purse ko aai sayyeda, matam karo ehle aza Pursa bhare ghar ka hai ye, jo karbala me lut gaya Hussain ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2) Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka Ek dopeher me lut gaya, maqdooma-e-alam ka ghar Kaunain ki shehzadiya, nauha kuna hai nange sar Tumse ali ki laadli, kehti hai ye sar peetkar Hussain ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2) Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka Aye rone walo kya kahe, kesi hui humpe jafa Kohe musibat gir pada, hum hogaye be aasra Har majlise shabbir me, aati hai zainab ki sada Hussain ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2) Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka Pamaal hai farwa ka dil, pamaal qasim ka badan Maara gaya naushaah bhi, pardes me tashna dahan Shaale aza pehne hue, kehti hai ek shab ki dulhan Hussain ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2) Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka Nana ki jo tasweer tha, rukhsat hua khakar sina Ek haath seene par rakhe, behosh hai akbar ki maa Zinda rahu kese bhala, hai umme laila ki fugha Hussain ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2) Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka Kya asr ka hangaam tha, jab shaah par khanjar chala Wo 13 zarrbe shimr ki, mazloom ka sookha gala Maadar ko dekha dasht me, aur zere lab kehne laga Hussain ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2) Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka Shaame ghariba aagai, karbobala roti rahi Jalti hui is khaak par, baithi rahi aale nabi Dasht-e-bala me marsiya, karti rahi binte ali Hussain ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2) Barbaad hua ran me ghar aale payambar ka Hai mazhar-o-irfan bhi, farshe aza par matami Ankho se jaari alqama, purse ka hai haq to yahi Marham dil-e-zehra ka hai, nauhagari seenazani Hussain ya hussain, hussain bekafan, hussain bekhata Sab milke azadaro zehra ko do pursa..(2) Zehra ko do pursa, Zehra ko do pursa..