لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Amma Fizza

Irfan Haider2015
ShiaNohaLyrics
Haaye..Haaye... haaye Sajjad ka beta, shahzada baqer jab aaya madine, sota hi nahi tha bus rota tha..(2) ek shab fizza ne aake kaha shehzade, kyu sote nahi ho mere aaqa zade maula baqer ne roke kaha ammaa.... dekha hai in aankho ne dada ke kate sar ko na bhulunga mai wo karbobala padhunga sada yahi marsiya han mai rounga mai rounga amma fizza mai rounga, mai rounga..(2) 1. Dekha hai in ankho ne jab karbobala pohche darya pe lage khaime, darya se hate khaime na bhulunga mai, wo tifl o jawaa the tashna dahaa, labe alqama han mai rounga amma fizza mai rounga, mai rounga..(2) 2. Dekha hai in ankho ne ashoor ka wo manzar lashe hi bayaban se sheh laate rahe dinbhar na bhulunga mai, wo ranjo alam sare dasht e ghum, hue sar qalam han mai rounga amma fizza mai rounga, mai rounga..(2) 3. Dekha hai in ankho ne naizo pe shaheedo ko aur shame gharibaa me jalte hue khaimo ko na bhulunga mai, chini chadare jali masnade, mere saamne han mai rounga amma fizza mai rounga, mai rounga..(2) 4. Dekha hai in ankho ne kaunain ki shehzadi jis waqt bani qaidi ghaazi ko bulati thi na bhulunga mai, haram ka safar chale nange sar, rasan pehenkar han mai rounga amma fizza mai rounga, mai rounga..(2) 5. Dekha hai in ankho ne kaato pe safar karna un shaam ki galiyo me ek qaidi ka khoo rona na bhulunga mai, saje bamodar har ek gaam par, wo naizo pe sar han mai rounga amma fizza mai rounga, mai rounga..(2) 6. Dekha hai in ankho ne us waqt aseeri me shabbir ki dukhtar ko jab manga kaneezi me na bhulunga mai, haram rodiye sabhi karb se, tadapne lage han mai rounga amma fizza mai rounga, mai rounga..(2) 7. Dekha hai in ankho ne zindaan ka wo manzar laasha tha sakina ka beemar ke hatho par na bhulunga mai, phuphi ki qaza kafan bangaya, wo kurta jala han mai rounga amma fizza mai rounga, mai rounga..(2) 8. Dekha hai in ankho ne zindaa se reha hoke wo ujde hue qaidi jab karbobala pohche na bhulunga mai, ke daadi meri ye kehne lagi, behen aagayi han mai rounga amma fizza mai rounga, mai rounga..(2) 9. Dekha hai in ankho ne irfan e aza bankar dekho mere chehre ko har ghum ka hai ye mazhar na bhulunga mai, kabhi karbala wo qaide jafa, dayare saza han mai rounga amma fizza mai rounga, mai rounga..(2)