لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maula Haq Imam

Irfan Haider2015
ShiaNohaLyrics
Ya Husain ya husain..(4) Ya husain ya husain ya husain.. husain..(2) haye haal likhu kya saadaat ke lutne ka mai khud ek sayyed zaada hu mujhe khoon rulate hai aksar kabhi maqtal, kabhi koofa, kabhi shaam maula haq imam..(4) maula haq imam ya hasan ya husain ya husain ya husain ya husain 1. Baade husain ibn e ali zainab pe kya aayi ghadi jalti hui reti pe thi be aasra aale nabi shame ghariba aagayi, har su udasi chaa gai pehre pe zainab aagayi..(2) aur lab pe tha bus ye kalaam 2. Maqdooma e kaunain ki poti sakina bekhata baba ka laasha dhundhne phirti thi ban me ja baja shabbir ki wo laadli, seene pe jo shah ke pali uski yahi faryaad thi..(2) jab jal chuke saare khayaam 3. Jis ke lahu ka aaj bhi maqrooz hai saara jaha halmin ki jo aawaz par maqtal me aaya bezaba wo asghar e besheer tha jo kaatibe taqdeer tha haye hurmala ka teer tha..(2) jis ke liye mehwe kalaam 4. Haye haye mohammad ka chaman kuch is tarah loota gaya ye bekasi saadaat ki ke barsare karbobala rokar kahe qasim ki maa, maara gaya qasim jawa zinda rahe kaise ye maa..(2) faryaad ya shahe anaam 5. Mashko alam lekar chala mashko alam ka paasba mashke sakina jab chidi pani baha baade azaa abbas ke baazu kate, dil kaap utha ye sochke wo khaak par kaise gire..(2) kehte hue tum par salaam 6. Tere akhee mazloom ka ghar se janaza jab chala taboot par 100 teer the lekin shahe karbobala teero pe tha laasha tera, maa sayyeda mehwo buka kehne lagi karbobala..(2) zinda rahe dono ka naam 7. 11 moharram aa gayi aale nabi ka karwaa tha shaam ki janib rawa aur kafile ka sarbaa wo abide bimaar tha chalne se jo laachar th mehve buka ghum khwar tha..(2) kehta chala har ek gaam 8. Kaafi hai rone ke liye wo shaam o kufa ka safar chadar talab karta raha sajjad qaidi nauhagar fir qaidiyo ka qafila darbaar me laaya gaya khudba jo zainab ne diya..(2) Lab Per Tha Yeh  Nauha Madham 9. Irfan o mazhar  abidi karte raho har dum ye bain bus zindagi bhar ya hasan, bus zindagi bhar ya husain nauhe ka yu haq ho ada, jab barsare farshe aza nauha padhe khud sayyeda..(2) rokar kahe sab khaso aam