لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kushta-e-shamsheer alamdaar

Irfan Haider2016
ShiaNohaLyrics
Aye alamdaar... Saqqa e sakina Abbas alamdaar, alamdaar..(2) Peshe nigaahe shahe karbala ghalti daye khaako khoo'n shud parchame bawafa nauhakuna sayyede abraar Ah uftaad e sare karbobala ya zainab..(2) kushta e shamsheer alamdaar kushta e shamsheer alamdaar, alamdaar..(2) Allah, Allah... kushta e shamsheer alamdaar, alamdaar..(2) Alamdaar, Alamdaar 1. Haaye... Ae bahan jispe naaza the hum hogaye hai wo baazu qalam pyaaso pe fida hogaya, saqqa e sakina pardes mein hum dono ka, dushwaar hai jeena arey, bhai hume chhod gaya ya zainab Ah uftaad.... 2. Haaye, Aaayi maqtal se jab ye sada aaiye ibne shere khuda jis samt se awaaz mujhe aai thi behna mai thokre khaata hua us simt hi nikla arey, raah mein ek bazu mila, ya zainab Ah uftaad.... 3. Haaye.... Phir usi samt mai chal diya aai thi jis taraf se sadaa jab dusra bazu mila, us shere jari ka dil dard se lachaar hua, tere akhi ka arey, hoto pe aayi ye buka, ya zainab Ah uftaad.... 4. Haaye... Aye bahan thaam lo dil zara phir wo lamha qareeb aagaya be dast alamdaar ko, jab khaak pe dekha us sher ki peshani pe, ek gurz laga tha arey, dil pe wahi gurz laga, ya zainab Ah uftaad.... 5. Haaye... Phir wo karne laga yu kalaam ibne zehra ho tumpar salaam mai roke ye bola ke, zara aankhein to kholo aye bhai agar koi, wasiyat hai to kehdo arey, sunke jari rone laga, ya zainab Ah uftaad.... 6. Haaye... Roke ghaazi ye kehne laga arz itni hai shahe huda mai mashk pe qurbaan hua, ye to batana par laash meri khaime mein, lekar nahi jaana arey, maine bhi aisa hi kiya, ya zainab Ah uftaad.... 7. Haaye... Sunke zainab ne nauha kiya ab chinegi yaqeenan rida aye mazharo irfan wo, qayamat ka tha manzar ghaazi ki bahan aagayi, khaimo mein tadapkar arey khaimo mein kohraam utha... Haye alamdaar, haye alamdaar, haye alamdaar