لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Neza sawaar bhai

Irfan Haider2016
ShiaNohaLyrics
Ya hussain..(6) Ek shor hai bazaar mein, Ya hussain, ya hussain, ya hussain Guzra damishq se, jab kaarwaan e azaa oonto'n pe thi bibiyaa'n, koofe ki shehzadiyaa'n naizo'n pe the sab (shaheedo'n ke sar)..(2) bhai pe pohchi behen ki nazar kehne lagi wo behen nauhagar mai dekhti rahi hun teri jung e karbala hussain ya hussain mai dekhti rahi hun teri jung e karbala ab mera marhala..(2) aankhei'n na band kar Naiza sawaar bhai, aise quraan padh..(2) koi na dekh paaye..(2), mujhko barahna sar 1. Barsaat pattharo'n ki, sar nange bibiyaa'n..(2) itna kathan hai bhai..(2), saadat ka safar 2. Teri yaad mein hai roti, sakina bazaar mein..(2) behlaye usko kaise..(2), jaaye behan kidhar 3. Chadar ki hai sawali, zahra ki betiyaa'n..(2) hota nahi kisi par..(2), faryaad ka asar 4. Baalo'n se mu'n chhupau, ya khaak udhaau mai..(2) laa de kahin se chadar..(2), ya ek kaam kar 5. Sab dekhte usi ko, hota agar yahaa'n..(2) deta azaan aisi..(2), akbar mera pisar Allahu akbar..(4) 6. Zehmat na tujhko deti, majboor hai behan..(2) ae bhai har shaqi ki..(2), naa paak hai nazar Naiza sawaar bhai, aise quraan padh..(2) Aise quraan padh..(4)