لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Qafla aagaya

Irfan Haider2016
ShiaNohaLyrics
Haan... Haaye sughra..(4) Palte zindaa'n se jis waqt ehle haram aur nazdeek e yasrab huwe mehwe ghum haye sughra, sughra ne khabar jab paayi wo ghar se nikal aayi Deti huwi sadaa... aao ehle madina aao, phool barsao nazrein bichhao saare yasrab ki galiyaa'n sajao..(2) ab charagha yahaa'n..(2) bemisaal karo mere baba ka istaqbaal karo..(2) qafla aagaya..(3) Mere baba ka... qafla aagaya 1. Guzrenge jahan se baba mere, mehkao wo galiya'n saari tum unpe nichawar jaan karo, hojau mai sadqe waari..(2) is ghar ki bahaare lekar, wo dekho mere darr par qafla aagaya..(3) mere baba ka.. qafla aagaya 2. Lo aaj phire din sughra ke, kehte hai sabhi do raahe kal zinda laash ke jaisi thi ab jeene ko dil chaahe..(2) lo badla naseeb is ghar ka, ham shakle payambar ka qafla aagaya..(3) mere akbar ka qafla aagaya 3. Ek saal huwa veeran huwe, aaghosh meri aur pehlu ab laut ke aate hai asghar aur dil pe nahi hai qaabu..(2) aai hai meri maadar bhi, hai godi mein asghar bhi qafla aagaya..(3) mere asghar ka qafla aagaya 4. Ab chayn se soyega yasrab, na khauf hai na veerani laut aaye safar se ghar apne wo shere khuda ka saani..(2) mash'hoor hai jo taaqat mein, lo unki qayadat mein qafla aagaya..(3) mere ghaazi ka qafla aagaya 5. Nagaah sada sughra suni, kehti hai ali ki beti bekaar hai tera khush hona ujdi hai ye sayyed zaadi..(2) haye karbobala mein lutkar, zindaa'n se reha hokar qafla aagaya..(3) tere baba ka.. qafla aagaya 6. Mat soch ke aaye hai baba, mat soch ke aaye akbar darya pe chacha sota hai tera jungle mein hai tera asghar..(2) roti hai lahu ye aankhein, ek qaidi ke saaye mein qafla aagaya..(3) tere baba ka... qafla aagaya 7. Ghum aur khushi ke pehlu hai, kya dard bhara hai manzar rota hai lahu irfan e azaa alfaaz bhi tere mazhar..(2) zainab ne kaha ghabrake, masooma ko dafna ke qafla aagaya..(5)