لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shehzada e qasim janam

Irfan Haider2016
ShiaNohaLyrics
Shah qasim jaanam..(8) Ya qasim jaan Dulha qasim, qasim..(2) shaah qasim..(2) shahzada e qasim jaanam, ae nawjawanam khush aamdeed ba maidan e karbala qasim shah qasim janam 1. Kamar me patka sajakar wo maahtaab chala, shah qasim sawale bay'ate fasiq ka ek jawaab chala, shah qasim hasan ka laal misaale abu turaab chala to karbala bhi, adab se boli khush aamdeed... 2. Khayam e shaah se wo shane kirdigaar chala, shah qasim husaini fauj ka mu bolta wiqaar chala ajal bikherta maqtal me raahwaar chala fida tumhare, nabi hai saare khush aamdeed.. 3. Rajaz labo'n pe sajai ba rasme islami, shah qasim Abu turaab ka beta hu kaisi nakaami kahan chupa hai wo badkaar arzaq e shaami jo dekhe tewar, to bole haider khush aamdeed.. 4. Jo khainchi ghaiz me aakar husaam qasim ne, shah qasim udoo se pucha bataa aur naam qasim ne kiya laeeno ka jeena haram qasim ne wafa pukari, qaza pukari khush aamdeed... 5. Wigha ko arzaq e shaami ke do pisar aaye, shah qasim zara si der mein ghode se khaak par aaye zamee'n pe laashe hawao'n me sar nazar aaye paro'n ko tole, farishte bole khush aamdeed... 6. Jo aaya arzaq e shaami sambhale qalbo jigar, shah qasim hasan ka laal badha qehre kibriya bankar badan ko bhi na khabar thi ke kab hua besar faza me naara, hasan ka goonja Khush aamdeed.. 7. Ghira laeeno'n me nagaah gul badan qasim, shah qasim sumo se ghodo'n ke uljha wo khasta tan qasim bikhar gaya kai tukdo me be watan qasim zameen royi, ye roke boli khush aamdeed... 8. Husain dasht me pohche the marsiya padhte, shah qasim ebaa zamee'n pe bichakar utha liye tukde ebaa ko dosh pe rakha ye bayn karte huwe mai roya dilbar, ye baat keh kar khush aamdeed... 9. Yahi pe mazhar o irfan khatm hai nauha, shah qasim bikhar gaya sare maqtal wo qasim e naushaah radeef bangaya qirtaas par yahi misra shah qasim jaanam, ae nawjawanam khush aamdeed wa maidan e karbala qasim shahzada e qasim jaanam, ae nawjawanam khush aamdeed wa maidan e karbala qasim shah qasim janam..(6)