لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Baab e hussain alamdaar

Irfan Haider2017
ShiaNohaLyrics
Abbas abal fazl….(4) Ya sayyedi yaa.. abbas ya sayyedi ya abbas Ya sayyedi yaa.. abbas ya sayyedi ya abbas ya sayyedi ya abbas..(4) Kuch aise saliqe se ataa karta hai ghazi.. duniya ye samajhti hai khuda baat raha hai teri hifazat mein rahe saare azadaar... wallah baab e hussain - alamdaar..(4) 1. Hum rahe ya na rahe dard ki tasweer rahe matam e shabbir rahe wallah.. kya hai qaza, baqa, fana, hawa.. bus ye diya jalta rahe har areeze pe likha tera naam zikr e shabbir kare subho shaam hai azadaro ka bus yehi kaam baab e hussain - alamdaar..(4) 2. Ae wafadaar dil e madar e shabir ke chayn tera laqab baab e hussain wallah.. tujhko padha, likha, suna, kaha khwab e ali khwab e hussain tu ataa karta hai ab ataa kar mausam e ghum ki fiza ataa kar har jagah farsh e azaa ataa kar baab e hussain - alamdaar..(4) 3. Jo hai saugaat e azaa zinda rahe taba abad chahiye bus itni madad wallah.. tera haram, karam, hasham, alam hai tere hone ki sanad tu sakhi ibn e sakhi wafadaar aagaye darr pe tere gunehgaar saniye shere khuda madadgaar baab e hussain - alamdaar..(4) 4. Jhula, taboot, alam aur ye paani ki sabeel dete hai humko ye daleel wallah dono jaha'n, jinaa, yaha'n, waha'n tu hai ghume sheh ka wakeel jab jaha'n dekhe alam kahe hum duniya ho jaye fana rahe ghum matam e sheh ki sadaa na ho kam baab e hussain - alamdaar..(4) 5. Leke hatho pe alam aag pe hum chalte rahe aur dua karte rahe wallah.. zakhme azaa, qama, buka, wafa ehle azaa karte rahe ho ye zanjeer zani hamadam aur rahe khooni qaba yehi hum yani abaad rahe tera ghum baab e hussain - alamdaar..(4) 6. Rasme saqqayi adaa aath moharram ko kare haziri hum karte rahe wallah banke faqeer, ameer, wazeer, aseer jaake tere darr pe kahe tu duao'n ko asar ataa kar khali godi ko pisar ataa kar rizq, aulad, hunar ataa kar baab e hussain - alamdaar..(4) 7. Kehke jo baab e hussain maange dua hogi qubool kehta hai ye ibn e rasool wallah tera akhi, wali, wasi, sakhi ye hai dilo jaane batool ye wazeefa ho tere labo par teri sunlenge dua payambar wird ye sham o sahar kiya kar baab e hussain - alamdaar..(4) 8. Zindagi bhar yehi mazhar o irfan dua zinda rahe ehle azaa wallah.. nauha azaa, fugha, quraa'n, bayaa'n jaari rahe ye silsila ye kahe ehle sukhan meri jaa'n soz khwa'n ehle qalam nauha khwa'n tu azadaro ka hai qadardaa'n baab e hussain - alamdaar..(4)