لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Biya ali asgharam

Irfan Haider2017
ShiaNohaLyrics
Ali asghar... Dasht e purhaal mein matam ki sadaa goonj uthi..(2) Karbala roti hai, hawa roti hai, alqama roti hai Barsare, barsare karbobala girya kuna madaram biya ali asgharam..(4) 1. Tu gaya saath tere ghar ke ujale bhi gaye sar se waali bhi gaya god ke paale bhi gaye..(2) haath hai, haath hai dil pe buka lab pe kahe chashme namm biya ali asgharam..(4) 2. Khali jhule ki taraf dekh ke karti hu buka jhulne wala nahi kisko jhulau jhula..(2) ek maa, ek maa hi nahi jhula bhi kahe ye baham biya ali asgharam..(4) 3. Jaane wale tere jaane se teri maa ujdi teri hamsheer tere baad meri jaa'n ujdi..(2) roke wo, roke wo karti hai fariyad labo par hai damm biya ali asgharam..(4) 4. Bayn karti hai sakina mai karu kya jeekar tu mere paas hai ammu hai na bhayya akbar..(2) pyaas se, pyaas se din bhi mere jeene ke ab to hai kam biya ali asgharam..(4) 5. Dard ye jeene nahi dega teri madar ko jo laga tujhko tere qad se bada teer tha wo..(2) aur isi, aur isi ghum mein dilafgaar hai ehle haram biya ali asgharam..(4) 6. Tu bata ghum ko tere dil se bhulaye kaise dhoop mein tu hai to maa saaye mein jaaye kaise..(2) saaye mein, saaye mein jaane nahi deta mujhe tera ghum biya ali asgharam..(4) 7. Tu nahi aaya to mai jaa'n se guzar jaungi saans bhi chalti rahe laash bhi kehlaungi..(2) zindagi, zindagi tu hai meri tere lahu ki qasam biya ali asgharam..(4) 8. Tere hi dum se to roshan thi hamari duniya nauha  karte hai haram nanhe mujahid aaja..(2) laut aa, laut aa, aa nahi sakte hai tere paas hum biya ali asgharam..(4) 9. Ye wo alfaaz hai khud jis pe qaza rone lage Bayn mazhar ne likhe ehle azaa rone lage..(2) ek hi, ek hi lafz bana jaata hai irfan e ghum biya ali asgharam..(4)