لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haaza min karame hussain ibne ali

Irfan Haider2017
ShiaNohaLyrics
hussain.......(4) Ya hussain Yabnaz zehra .....ya hussain,hussain hussain hussain, hussain. .....4 Ye meri izzato taukeer tera sadqa hai....2 Ye meri ashko ki jagir tera sadqa hai......2 Mujhko jo kuch bhi Mila maula tere dar se mila....... Meri dhadkan se hamawaqt sadaa aati hai. .. YA hussain......2 Haaza min karame Hussain ibne Ali......4 1. Sayyada fatema zehra ka huwa mujhpe karam, mil gaya farshe azaa aur alam, Aur kya mangu bhalaaaa......2 tujhse mujhe kya na mila ankh  kholi to mujhe ghar me azakhana mila.... Jab alam dekha toh ye baat kahiiìiiii...... Haaza min karame Hussain ibne Ali......6 2. Mujhko maa baap se virse me milaa farshe aza, ye mukaddar na farishto ko mila, tarbiyat aysi miliiiiiii.........2 Khud hi sajaata hu alam Bhul jaata hu zamane ke sabhi ranjo alam, Likhne wale ne ye taqdeer likhiiiii...... Haaza min karame Hussain ibne Ali......6 3. Aag par chalna, ye zanjeer zani aur kamaa, Zindagi Jeete hai bas ehle aza, Khoon tehleel huwaaaaaa.....2 Par na mujhe aayi qaza, Ek zanjeer se das logoh ne maatam bhi kiya, Khoon behne se meri maut tali... Haaza min karame Hussain ibne Ali......6 4. Haath sine pe agar maaro toh ruk jaata hai dil, Saas lene se bhi katrata hai dil, Umr bhar karta rahaaaa.....2 Matame shabbir bapa Na ruki Saas na is dilne dhadakna choda Dilki dhadkan se sada aane lagiiiì......... Haaza min karame Hussain ibne Ali......6 5. Aagaya mera bulawa jo sue karbobala Mai bina zaade safar ghar se chaala Ankh me ashke azaaaaa......2 Lab pe buka Sinaa zani Jab chala ghar se mere sath tha saman yahi KARBALA dekhi toh mai bola yahi Haaza min karame Hussain ibne Ali......6 6. KARBALA ho ya MADINA ho ke MASHAD ya NAJAF Har ziyarat ka mila mujhko sharaf Saari duniya me gayaaaaa......2 Aur yahi nauha padha Mai toh shabbir ka zakir hu meri baaat hi kya Mujhko is dar se hi taukeer mili... Haaza min karame Hussain ibne Ali......6 7. Mere hamraah wo karta hai aqide ka safar Mere jaisa hai mera lakhte jigar Kaam kuch aur nahiìiiii......2 Majliso matam ke siwa Shukr sad shukr ke awlaad ko virsaa ye mila Nauha padhta hai mera NAADE ALI...... Haaza min karame Hussain ibne Ali......6 8. Hur ke laashe pe juhi pohche shahen shahe huda Aankh me ashq the aur lab pe bukaa Hur ki peshani koooooo......2 Rumaal jo zahra ka mila Apni taqdeer pe naaza vo dilafgaar huwa Hur ke laashe se sadaa aane lagi Haaza min karame Hussain ibne Ali......6 9. Roz ek nauha nayaa likhta hai MAZHAR ka kalam Mujhpe maula ka hai ye khaas karam Aur saitees barasssss.....2 Hogae irfaane azaa Zikre shabbir  se ek pal bhi tu ghaafil na raha Hamne mimbar pe yahi baat kahiiiii....... Haaza min karame Hussain  ibne Ali......6 HAAZA MIN KARAME HUSSAIN IBNE ALI (A.S)