لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbala mojiza hai

Irfan Haider2017
ShiaNohaLyrics
Karbala, karbala, karbala..(2) Karbala... Zinda thi, zinda hai, zinda rahegi ye to dil walo ki baat hai, isko samjhenge dil waale..(2) jiske seene mein dil hi nahi hai wo kya samjhega karbala kya hai..(2) Jageer e akbar, karbala Hurr ka muqaddar, karbala hai dee'n ka mehwar, karbala karbala... karwan e azaa saari duniya ko batla raha hai karbala mojiza hai..(4) 1. Karbala ki zamee'n par karodo bashar shauke deedar mein aate hai saal bhar jis taraf ho nazar, har taraf sar hi sarr aisa majma na yasrab na kaabe mein dekha gaya hai karbala mojiza hai..(4) 2. Saari duniya ki khatir dawa ban gayi be saharo'n ki khatir asaa ban gayi khoon e shahe huda is jagah jab gira jisko tum khaak kehte ho duniya ki khatir shifa hai karbala mojiza hai..(4) 3. Jab watan se kahi bhi koi jayega saath saugaat pardes ki laayega zaere karbala nauha karta hua jo raha bekafan uske darr se kafan le chala hai karbala mojiza hai..(4) 4. Haq likho haq padho to gawah ast hussain karbala deen hai dee'n pana ast hussain keh raha hai qalam mujhko rab ki qasam maine sirre shahadat ki tafseer mein ye kaha hai karbala mojiza hai..(4) 5. Do jaha'n ke liye ek maseeha bhi hai karbala, karbala ek wazeefa bhi hai har maraz ki dawa hai shifa hi shifa mil gayi jisko beenayi wo to yehi jaanta hai karbala mojiza hai..(4) 6. Zarf ko aazmati hai karbobala ishq karna sikhati hai karbobala padh namaz e wafa raaz khul jayega apne mabood se law lagane ka ek raasta hai karbala mojiza hai..(4) 7. Fikr e batil se hai munharif karbala sab zameeno se hai mukhtalif karbala tumne dekhi kahee'n khoo'n ugalti zamee'n ye gawahi to sadiyo se aashoor bhi de raha hai karbala mojiza hai..(4) 8. Karbala mein jo shame ghareeba hui shame ghareeba..(3) dekha zainab ne aate hai shere khuda baap ko dekha beti ne ki ilteja aagayi shaam e ghareeba baba..(2) haaye irfan o mazhar ye nauha tha zainab ka baba.... baba.... baba.. ek din mein mere ghar ko sitamgaaro ne loota pamaal kiya laasho'n ko khaimo ko jalaya abbas ke baazu kate - mai ujad gayi bachhe mere maare gaye - mai ujad gayi duniya se jab asghar gaye - mai ujad gayi haan mai ujad gayi baba hussain ya hussain, ya hussain, ya hussain ya hussain..(4)