لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kehdo ye zainab nahi

Irfan Haider2017
ShiaNohaLyrics
Haye bazaar, haye zainab..(2) Ya rab tu meri chashm e tasawwur ko yaqee de be parda aseero mein ye zainab to nahi hai shaam ke bazaar mein, ye kaun aaya berida kehdo ye zainab nahi.. 1. Zakhm jiske padh rahe hai, aayatein jis ke chehre se ayaa'n hai, zehmatein aayi hai kis des se, maqdooma e sharm o haya kehdo ye zainab nahi.. 2. Kar rahi hai khaak udaa kar, kyu buka aur lab par wa hussaina, ki sadaa iske lab par kyu sadaa hai, ya ali ya ayliya kehdo ye zainab nahi.. 3. Nauke naiza par saro'n ko , dekhkar apne sar ko peet-ti hai, nauhagar aake jo bazaar mein karti hai marne ki dua kehdo ye zainab nahi.. 4. Bus ye nauha sunke mai hu, beqaraar haye ghazi keh rahi hai , baar baar wo jo karti hai fugha, karta hai mera dil buka kehdo ye zainab nahi.. 5. Bediyo'n mein qafela salaar hai ye na kehna abid e beemar hai wo jise kehkar phuphi, har gaam deta hai sadaa kehdo ye zainab nahi.. 6. Is ka nauha sunke roye dil mera kisko kehti hai shabeeh e mustafa haye akbar kehke jo padhti hai rokar marsiya kehdo ye zainab nahi.. 7. Ye samajhne se hu mai qasir yaha'n kyu chupati hai ise sab bibiya'n jis ke parde ke liye salaar hai mehwe buka kehdo ye zainab nahi.. 8. Kaifiyat aisi hai mazhar abidi isko padhkar ro diya irfan bhi jab kiya nauha raqam, khud mere dil ne ye kaha kehdo ye zainab nahi..