لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mohammad ka nawasa

Irfan Haider2017
ShiaNohaLyrics
Haye sughra.. haye sughra..(3) falak par chaand nazar aaya moharram ka be saakhta aankho'n ne meri khoon bahaya logo ne mujhe rote hue dekhke pucha shehzadi zara ye to bata ghum hai ye kaisa kyu farshe azaa aapne ghar mein hai bichaya sughra... sughra ne kaha ehle madina ghar zehra ka veeran hua hai aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2) 1. Nana ke madine mein udaasi ka hai matam hum shakle nabi hai na shehenshah e do aalam wehshat si barasti hai daro baam se har dam..(2) baba .. jis din se gaye hai mere baba ghar zehra ka veeran hua hai aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2) 2. Jis din se gaye hai mere baba mere ghar se ek lamha nahi aisa ke aasu nahi barse dil mera sakina ko mulaqaat ko tarse..(2) duniya.. is ghum ko samjhti nahi duniya ghar zehra ka veeran hua hai aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2) 3. Is ghum ko samajhti nahi duniya mere nana sughra pe qayamat hai padar ka chale jaana dil kehta hai is ghar ko musibat se bachana..(2) Allah.. tu dekh raha hai mere Allah ghar zehra ka veeran hua hai aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2) 4. Tu dekh raha hai mere Allah udasi Ahmed ka nawasa hai na Ahmed ki nawasi ummat ki nigaho mein nahi sharm zara si..(2) kaaba.. is ghum mein siyah posh hai kaaba ghar zehra ka veeran hua hai aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2) 5. Is ghum mein siyah posh hai kaaba bhi haram bhi kulsoom bhi, zainab bhi, shehenshah e umam bhi akbar bhi, chacha jaan bhi, aur unka alam bhi..(2) sughra.. ye dard bataye kise sughra ghar zehra ka veeran hua hai aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2) 6. Ye dard bataye kise sughra ke hua kya ghar qabr sa lagta hai na akbar hai na baba is qabr mein hai fatema sughra ka janaza..(2) sadmaa... sughra ko rulata hai ye sadma... ghar zehra ka veeran hua hai aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2) 7. Sughra ko rulata hai ye sadma ali akbar gharwalo ki furqat mein guzar jayegi khwahar dekhu koi gehwara to yaad aate hai asghar..(2) ab to... daaman mein mere reh gaya ab kya ghar zehra ka veeran hua hai aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2) 8. Daaman mein mere reh gaya ab kya mere nana mazhar yehi faryaad kiya karti thi sughra tum chaho jo beemar ke zakhmo ka madawa..(2) nauha... irfan suna do yehi nauha ghar zehra ka veeran hua hai aye logo Mohammad ka nawasa pardes mein mehmaan hua hai..(2) Hasan hussain imam hussain haaye husaina haaye husaina, haaye husaina Hasan hussain imam hussain haaye husaina