لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Wada sajjad nibhayega

Irfan Haider2017
ShiaNohaLyrics
Haye sajjad.. haye sajjad..(2) tha ye manzar ajab, alam e zarr me jab ahd o paymaan karbobala ke hue..(2) saare waado ki haami bhari shaah ne manzil e sabr mein uff na ki shaah ne..(2) baat zainab ke parde ki aayi thi jab..(2) hogaye roke khamosh shahe arab bole sajjad..... haan kaho baba ye kaam to mujhko karna hai ye aapka beta karbal se ek qaafla lekar jayega waada sajjad nibhayega..(2) sajjad nibhayega.. waada sajjad nibhayega..(2) 1. Ghar aap lutayenge baba bazaar mein jaana hai mujhko..(2) maqtal ko aap basaenge zindaan basana hai mujhko..(2) zindaan mein apni behna ko ye nauhakhwaa'n dafnayega waada sajjad nibhayega..(2) 2. Jab gyarah moharram aayegi sadaat banenge jab qaidi..(2) mehmil ke bajaye ooto'n par aulad e payambar baithegi..(2) us roz se aapka shehzada salaar e haram kehlayega waada sajjad nibhayega..(2) 3. Hum basti basti jayenge barsegi aag kahi'n patthar..(2) dekhengi nigaahe aada ki jab meri phuphi ko bechadar..(2) dauran e safar bas ye hi sitam beemar ke sarr ko jhukayega waada sajjad nibhayega..(2) 4. Akho'n se lahu barsayega durre bhi badan par khaega..(2) us tashnalabi ki shiddat mein zanjeer ka bojh uthayega..(2) ye zakhm bhi dil par khayega baaghi ka pisar kehlayega waada sajjad nibhayega..(2) 5. Napaak zabano par hoga jab naam ali ki beti ka..(2) zanjeer bhi mujhpar royegi aur tauq bhi mujhpar royega..(2) aye baba ye ghum ka manzar sajjad ko khoon rulayega waada sajjad nibhayega..(2) 6. Royegi mashiyat bhi mujhpar jab dekhegi ye haal mera..(2) sadqe ki khajoorein barsegi yu hoga isteqbaal mera..(2) ghairat ka khuda is ummat se ye ajr e risalat payega waada sajjad nibhayega..(2) 7. Kulsoom ke aage jab khooli abbas ke sar ko layega..(2) us waqt sina se reti par abbas ka sar gir jayega..(2) ghush kha kar sambhlega qaidi sambhlega phir ghush khayega waada sajjad nibhayega..(2) 8. Irfan e aza dil zainab ka wo dard o alam ka mazhar tha..(2) zanjeer mein jakde qaidi ka har waqt yehi ek nauha tha..(2) waada sajjad nibhayega waada sajjad nibhayega waada sajjad nibhayega..(2) sajjad nibhayega waada sajjad nibhayega..(2)