لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Asadullah ali (ayyam e ali)

Irfan Haider2018
ShiaNohaLyrics
Ya ali, ali haider maula..(2) Haaye, Aaj ke suraj ne khabar kaisi sunayi aasmaa'n deta hai duhayi rone lagi saari khudayi uth gaya zainab o kulsoom ke sar se saaya..(2) nauha jibreel ye karte the khudaya Asadullah ali, ali haider maula Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(2) 1. Wo ali jisko ataa rabb se hue tegh o alam uski gardan mein rasan bandhi gayi haaye sitam wajhullah ali.. ali haider maula aayi kufe ke gali kucho se bus ek sadaa Allah mere Allah kis tarha ghum ye qayamat ka uthega Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3) 2. Jiske chehre ki ziyarat ho ibadat ki sanad shab ki tanhayi mein karta tha ghareebo ki madad hay yadullah ali.. ali haider maula tegh jab sar pe lagi chehra hua khoon mein tarr Allah mere Allah farsh e ghum saniye zehra ne bichaya Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3) 3. Jisne bin dekhe khuda ko kabhi sajda na kiya us namazi pe hui sajda e khaliq mein jafa aynullah ali.. ali haider maula khana e fatima zehra mein gayi ghum ki khabar Allah mere Allah phaika shabbir ne ye kehke amaama Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3) 4. Jiske abroo ke ishare pe chale shams o qamar aise insaan pe girya na kare shams o qamar yuridullah ali.. ali haider maula baap ko ghusl o kafan dete hi shabbar ne kaha Allah mere Allah hashr tak royega ye kehke zamana Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3) 5. Warise ilm e nabi natiq e qur'an ali hai tere ghum me jaha'n chaak garibaan aali lisanullah ali.. ali haider maula nauha ye baap ke taboot pe zainab ne kiya Allah mere Allah baba aghaaz hua karbobala ka Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3) 6. Khana e fatima zahra mein qayamat hai bapa koi matam mein hai masroof koi mehwe buka kaaba rota hai ali.. ali haider maula betiya'n nauha kuna khaak udate hai pisar Allah mere allah thaam ke qalb o jigar kehti hai fizza Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3) 7. Ghar ke darwaze talak zainab e nashaad chali saath taboot ke jibreel ki faryaad chali kaisa girya hai.. ali ali haider maula ambiya karte hue bayn falak se utre Allah mere Allah farsh se arsh talak shor yehi tha Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3) 8. Mazhar o Irfan ye ghum sab se bada hai zakhm jo zainab ko yatimi ka mila hai Roke zainab ne kaha, kaash aajaye qaza maa ka ghum bhuli nahi thi ke mila baap ka ghum Allah mere Allah mujhko taa hashr rulayega ye jumla Asadullah ali.. shere khuda qatl hua..(3) Azamallahu ujuruna wa ujurukum be musabina maula ali