لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Chehlum karo karbala mein

Irfan Haider2018
ShiaNohaLyrics
HUSSAIN .. (3) Ghareeb e ZAHRA ke naukar, yeh Aashiqan e Aza Rahe wafa pe chale hain Musafiran e Aza Dua e FATEMA ZAHRA ke saayebaan ki tarah Chale hain janib e manzil yeh karwan e Aza (Salam Zaeraan e HUSSAIN Salam Aashiqan e HUSSAIN ).. (2) (Safar e Ishq e HUSSAIN  ).. (2) Hussainiyo'n.......... Hussainiyo'n tumhe KARBOBALA bulati hain Safar e Ishq par chalo, saath mere Hussainiyo'n Sunnat e BIBI ZAINAB   ko pura karo Hal min ki sada par Labbaik kaho Labbaik ya HUSSAIN.. (4) Rasm e SAJJAD puri karo.. (2) KARBALA ke shaheedo'n ka , Chehlum karo KARBALA me.. (2) Ya HUSSAIN Chehlum karo KARBALA me.. (2) (1) Zaeraan e HUSSAIN KARBALA ka yeh gham.. (2) Dil me zinda rahe, ek pal na ho kam Saal bhar majlisein ho, rahe aankh nam Baad e Ashoor hathon me lekar alam.. (2) Qafila ek tarteeb do.. KARBALA ke shaheedo'n ka Chehlum karo KARBALA me.. (4) (2) Jiski chadar ko tum roye ho umr bhar.. (2) Jiska ek roz me, lut gaya sara ghar Apne marqad me kehti hai woh nauhaghar Main bhi jati hoo'n, tum bhi karo yeh safar.. (2) Hukm e ZAINAB ki takmeel ho.. KARBALA ke shaheedo'n ka Chehlum karo KARBALA me.. (4) (3) Sabr ka woh khuda Yaani ZAINUL IBA.. (2) Pehenkar bediyaan, Khoon rota raha KARBALA se sue Sham paidal gaya Chhutke zindaan se phir sue KARBALA.. (2) Jis tarah woh chala, tum chalo KARBALA ke shaheedo'n ka Chehlum karo KARBALA me.. (4) (4) Baap ki yaad me dil jalati hain woh.. (2) Qaid khane mein gham yu manati hain woh Apne baba ko ab bhi bulati hain woh Karne chehlum sue dasht jati hain woh.. (2) Gar SAKINA ke ghamkhwar ho, KARBALA ke shaheedo'n ka Chehlum karo KARBALA me.. (4) (5) Hain safar ishq ka Ek musalsal safar.. (2) Karya Karya safar, Sehra jungle safar Sardi garmi ho din raat paidal safar KARBALA tak NAJAF se woh paidal safar.. (2) Mere humrah tum bhi karo KARBALA ke shaheedo'n ka Chehlum karo KARBALA me.. (4) (6) Door hogi thakan us ghadi Ahle gham.. (2) KARBALA mein rakhoge jo pehla qadam Hogi pesh e nazar qabr e Shahe Umam Ek maa ki fugha'n sun ke royenge hum.. (2) Mere zakhmo'n ka marham bano KARBALA ke shaheedo'n ka Chehlum karo KARBALA me.. (4) (7) Ashiqaan e HUSSAIN Ishq imaan hain.. (2) Ishq ka yeh safar, dil hain aur jaan hain Haan yeh Irfan o MAazhar ka ailaan hain BINT E ZAHRA  ka, ZAHRA ka armaan hain.. (2) Unka armaan pura karo KARBALA ke shaheedo'n ka Chehlum karo KARBALA me.. (4) Allahumma ar zuqna fid duniya ZIYARATIL HUSSAIN