لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Izzat e mann

Irfan Haider2018
ShiaNohaLyrics
Husain Husain...(4) Ya zahra.... Ya Haider.... Shukriya fatema zahra Shukriya Haider e qarraar Aapne mujhko banaaya Apne bete ka azadaar..(3) Man misli.. mai azadar e Husain Risaalat e mann nabawi Wilaayat e mann alawi Qismat e mann fatemi Sakhawat e mann Hasani Izzat e mann Husaini Ghairat e mann Abbasi 1) Ye jo sharaf mujhko mila aur kise rabb ne diya..(2) Goondha gayaa mera khameer usme mili khaak e shifaa..(2) unse mujhe hai qalk kiyaa Aab e baqaa, khaak e shifaa, zohd o sakhaa, Rab ki ataa Risaalat e mann nabawi Wilaayat e mann alawi Qismat e mann fatemi Sakhawat e mann Hasani Izzat e mann Husaini Ghairat e mann Abbasi 2) Khalq mujhe rabb ne kiya sirf moharram ke liye..(2) Aankh hai rone ke liye haath hai maatam ke liye..(2) Daulat e mann kya iske siwaa Farsh e azaa, farsh e wilaa, ashq e azaa, karbobala Risaalat e mann nabawi Wilaayat e mann alawi Qismat e mann fatemi Sakhawat e mann Hasani Izzat e mann Husaini Ghairat e mann Abbasi 3) Seena hai kaaba e azaa kaabe ka maulood Ali..(2) Rabb ne jo meesaaq liya dil me tha maujood Ali..(2) Aur Karam mujhpar ye huwaa Dil Jo diya, usme rakha, ishq e khuda, sheh ki azaa Risaalat e mann nabawi Wilaayat e mann alawi Qismat e mann fatemi Sakhawat e mann Hasani Izzat e mann Husaini Ghairat e mann Abbasi 4) Pehle waha wird kiya sallu alaihi ya Husain..(2) Ab ye wazeefa hai mera sallu alaihi ya Husain..(2) Kaam hai ye dunya me Mera Nauha likha, nauha padha, nauha suna, kehta raha Risaalat e mann nabawi Wilaayat e mann alawi Qismat e mann fatemi Sakhawat e mann Hasani Izzat e mann Husaini Ghairat e mann Abbasi 5) Ishq e Ali mujhko mila aur ghum e karbobala..(2) Jab bhi uthey mere qadam pohcha sar e farsh e aaza..(2) Qaidi koi yaado'n me rahaa Tauq e jafaa, me tha gala, kehta raha, Zain ul ebaa Risaalat e mann nabawi Wilaayat e mann alawi Qismat e mann fatemi Sakhawat e mann Hasani Izzat e mann Husaini Ghairat e mann Abbasi 6) Asr ka hangaam e sitam bhool na paaunga kabhi..(2) Reyt ke teeley pe khadi ek behan roti rahi..(2) Dekhi nahi phir aisi jafaa Khushk gala, kat-ta raha, khoon baha, kehta huwa Risaalat e mann nabawi Wilaayat e mann alawi Qismat e mann fatemi Sakhawat e mann Hasani Izzat e mann Husaini Ghairat e mann Abbasi 7) Baad e shah e Karbobala ahle haram qaidi bane..(2) shaam talak aise gaye ek rasan baara gale..(2) Binte Ali thi mehwe bukaa Lehje me tha Sher e khuda, mehwe buka, khutba diya Risaalat e mann nabawi Wilaayat e mann alawi Qismat e mann fatemi Sakhawat e mann Hasani Izzat e mann Husaini Ghairat e mann Abbasi 8) Hoti hai maula ki ataa likhta hai Mazhar ka qalam..(2) Mujhpey bhi Irfan e aza hai ye shah e dee'n ka Karam..(2) Naad e Ali jo mujhko milaa Shukr e khuda, khoon mera, meri tarha, kehne lagaa Risaalat e mann nabawi Wilaayat e mann alawi Qismat e mann fatemi Sakhawat e mann Hasani Izzat e mann Husaini Ghairat e mann Abbasi Husain... Husain... Ya zehra....